Kabhie kabhie hume lagta hai ki. Zyada chamak dhamak se door hi rehna chaiye kyunki inke peeche ka andhera zyada ghehra hota hai .. Humko humare gaon ki saadi bina batti wali life hi pasand hai ..nahi samjhe kya ki hum kya keh rahe hai to samjhate hain...humre maa bapu aur duniya ko lagta hai ki humri lottery lag gayi aise bade ghar mein shaadi karke ...par issey achha tha ki hum kisi chhote madhyam vargiya parivaar mein bhyaate..kam se kam sab cheez ka hissa hote ..sab ek jaise hote aur khushi to rehti.
Ab yehhi dekh lijiye
.....neeche sangeet ka function chal raha tha gaane baj rahe the.. aur hum yaha apne room mein kitab padh rahe hai! ..Neeche mehmaano ki swagat mein sajavat ki gayi thi, ghar mano mahal lag raha ho...log bhi bade saj dhaj ke aaye hai, sangeet mein yeh baat hai toh shadi mein kya hoga Ram ji hi jaane. Woh filmon mein hota hai kuch waisa hi lag raha tha...agar humko neeche jaane bhi dete na toh bhi hum nahi jaate, uu sab full ingliss logo ke samne hum woh kya kehte hai..narvuss ho jate! :p..na baba hum toh yehi theek hai..apne room mein.
Waise music baj raha tha..toh humre pair bhi apne aap theerakne lage, akele naachne ka maza hi kuch aur hai, apne hi khayalon mein dube..na kisi cheez ka koi sankoch..yehi toh khubi hai khayalon ki, apne khayalon mein aap jo bhi chahein kar sakte hai, jo bhi chahe ban sakte hai. Hum toh mast hoke naach rahe the, tabhi humre meethe sapne mein ek lambi si break laga di . Kisne? Aisha ke hone wale pati Siddharth ne.
Humein na pata tha ki baat yaha tak badh jayegi, ek acha bhala ..padha likha ladka, jiski shadi hone wali hai..aisa kuch kar sakta hai, hum soche bhi nahi the. Jab baat humre maan-sammaan par aaye hum bhi bade bado ke chakke-chuda sakte hai. Usne humare sath ched chaad ki, toh humne bhi rakh diya uske gaalon par ek zordaar thappad.
Bhala koi bhi humare sammaan ke sath yun khel nahi sakta, humra najayaz fayda nahi utha sakta..humein pata hai iske natije bahut hi bade honge, shayad hum phir se kisi bade problem mein fass sakte hai..par hum galat nahi hai!! Hum apne aap ki suraksha mein zaroor khade honge..aur humein bharosa hai ki Nikhil bhi humein zaroor samjhenge.
Aapki Nidar Laajo
No comments:
Post a Comment