Wednesday, 31 July 2013

Tujhe sab hai pata...meri Maa !!

Do din ki baarish ke baad..Aaj aangan mein bahut achhi dhoop thi aur hum khatole ....yani charpai pe lete dhoop ka mazaa le rahe the..maa humare liye ubtan bana ke layee aur boli ..aa lajo laga deti hoon ..itni sundar shakal hai bas dhyaan nahi rakhti ..sasuraal mein aisa chehra le kar jayegi .... Hum bhi aaj acche mood mein the ..achha mood kya ..lazy feel kart  rahe the to humne maa ko manmaani karne diya ..woh humare haatho mein uptan lagane lagi.

Do minute ke liye khamoshi aa gayi humare beech ..maine bahut dino baad aaj maa ko dhyaaan se dekha aur aisa laga jaise shayad aaj pehli baar unpe dhyaan de rahe hai ..maa ki aankhon ke neeche kuch lines aa gayi hai ..maathe pe pareshaniyan ane nishaan chhod gayi hai...kamar tak lambe baal apni chamak thoda kho rahe the .. Jaldi baazi mein baandhi hui saadi aur. Kuch kaanch ki choodiyan jinki awaazz is waqt.  Charo taraf goonj rahi thi... Pata nahi kya huwa hume aur humara man bhaari ho gaya ...maa ne ek nazar dekha hume aur jaise sab samajh gayi......
Boli kya soch rahi hai pagli..maa dushman nahi hai ...jab sasural jaogi na tab yaad karogi ki maa kaise peeche peeche bhagti thi....humne muskura diya.. Par dil mein bahut ajeeb si ek feeling ayee ... Rone jaisi... Maa bhi chup ho gayi ..phir boli ..paagal ...rulana mat..!




.kaisie hoti hai na yeh maayen ...sab samjh jaati hai ..kaise pata chala maa ko ki hum emotional feel kar rahe the.... Shayad maa bhi udaas hai humare shaadi ke baad jaane ko le kar ..dikhati nahi hai kyunki jis din woh bolengi unko pata hai humara jawaab kya hoga ...mat karao na phir shaadi !!

Aaj hame maa pe bahuuuuttttttttttt pyaaar aa raha hai...meri maa ..poore ghar ka bojh unke kandho pe ...unki yeh saari daant ke peeche chhupa unka pyaar...aapko lagta hoga laajo ki maa to hamesha usko daant ti rehti  hai ..par hum jaaante hai ki maa hume pyaar bhi utna hi karti hai.
Bachpan se dekha hai...bahar khelne ke liye daant par jab chot laga ke ghar pahuchti thi to maa ke hi aankh mein ansooo..dawa bhi lagaye aur duwa bhi de... Kitaab mein ghuse rehne ke liye daant!...par paas hone ki khushi mein har saal ghar ghar mithai baatne daudti bhi maa hi hai!
Kaam na karne ke liye daant par jaise hi koi mehnat ka kaam karne lago to. Dheere se aa kar. Woh kaam khud karne lag jaati hai aur kehti Tu kuch aur kar le !,..kaisie hoti hai na yeh maaye bhi...inke bina kaise. Jeetey hum?


Hum se to nahi hota bhai...subah se le kar raat tak hum har cheez ke liye maa pe hi depend karte hain ..aur yeh soch ke hi darr lagta hai ki sasural mein unke bina kaise rahenge ....! Kya hum unke jaise thoda bhi ban payenge ...bahut mushkil hai dagar panghat ki !!
Apni kamiyan aur maa ki utni hi khoobiya ke baarey mein soch ke hum muskura diye ..maa ko gale lagaya .. Gaal pe ek lambi si kiss kari aur poora ubtan unke chehre pe laga ke hum bhaag liye aur peeche se maa ki jhooth mooth ke gusse ki awaaz aati rahi ki ..kab badi hogi yeh ladki !!... 

Apni " maa ki gudiya" laajo

Tuesday, 30 July 2013

Woh apshaguni !!

"Laajo ki maa tumhara dimaag kharaab ho gaya hai ..us apshaguni ko laajo shaadi mein bulane ki kya zaroorat hai"??
Chachiji ki is teekhi baat se meri aaj subah aankh khuli....arey bataya tha na rishteydaar aaye hai mere ghar...yeh meri door ki chachi hai jo subah subah maa ko koi lecture suna rahi thi ..dhyaan se suna to pata chala ki chachi ki yeh Apshakuni koi aur nahi humari ek padosi  hai .....
Aap soch rahe honge apshaguni kyon ? Aisa kya kiya ....jee hum batate hai.... Uska ek hi kasoor hai ki woh aurat hai aur woh bhi widhwa ..bas ...log uspe hi saare ilzaam lagate hain ..jaise ki kisi ka marna jeena insaan ke haath mein hai .  Haddd hi ho gayi yaar.
Maine chachiji se bola ki  macchan  ki death mein log macchan ki biwi ko hi kyon  blame kar rahe hai ..koi khushi khushi widhwa banta hai kya ?.aur hamesha aurton ko hi kyon kehte hai yeh sab ..koi aadmi ke baarein mein to nahi suna ki woh apshaguni hai..uski biwi chal basi?. .phir kya tha humari is baat pe chachi ne sur peet liya aur maa ne hume ghoor ke dekha  aur bade pyaar se kaha ki  mai. Putti ke pass thodi der ho aaon ...wahhh..yeh to mast weapon mil gaya humko... Jab bahar jana ho ..chachiji se behas shuru kar do ..maa fauran bhaga degi hume ...hahhahahahahah
Waise bahar aa kar hum soch mein pad gaye...ki  macchhan ki widhwa ki umar hi kya hai ..woh humse koi do chaar saal badi hogi ..itti sundar dikhti hai ..par uski zindagi kis mod pe. Aa kar khadi ho gayi ..jahan duniya wale usko sahara dene ke bajaye. Apshaguni kehte hain ..rasm riwaaj mein bulate nahi...uske aage poori life hai but woh kar kya rahi hai..apne hi ghar mein ek naukraani ki tarah kaam ..aur waise to chahe yeh gaonwale. Kisi khushi ke mauke pe usey na bulaye. Par aas pados mein jab koi bhaari kaam aata hai na to usko zaroorbula bhejte hai kaam mein madad ke liye ! Matlabi duniya!!
laajoka blog
Meri maaney to macchan ki widhwa...uff mai kyon usey aise bula rahi hoon ..uska ek naam bhi to hai ...bindiya ! Haan to meri maaney to bindiya k doosri shaadi kar deni chahiye..usko haq hai phir se khush hone ka ..humare gaon ki socity mein waapis se ghulne milney ka...uske maa baap ko aise waqt mein aagey aana chaiye aur uska saath dena chahiye but kahi na kahi unhone bhi usko uske haal pe chhod diya hai .
Yeh situation mujhe depress karti hai...kyon uske parents stand nahi lete ..shaadi ke baad kya betiyan itni parayee ho jaati hai ? Maa baap kya  sirf betiyon ki shaadi ka intezaar karte rehte hai ki shaadi ho jaye aur unki zimmewari khatam?
Par ek baat bataye ..humare baba aise bilkul nahi hai ..woh humpe  aur humari behno pe jaan chidakte hain ..hume padhne bheja ..sapne  dikhaye aur hume yakeen hai ki hum zindagi mein kabhi bhi problem mein honge to humare baba humara saath dene zaroor ayenge !
Love  you baba.
Apni " papa ki chaheti" laajo

A true friend walks in..when the whole world walks out!!


Aaj ghar pe kuch rishtedaar aa rahey hai..subah se uski hi tayyari hai..maa roz se zyada kaam kar rahi hai ..ghar chamka rahi hai aur zaroorat se zyada cheezein bhi paka rahi hai rishtedarron ke liye aur sabse odd baat yeh hai  ki unke aane ki khushi mein kahi na kahi tension zyada chhupa hota hai ..kyunki rishtedaar hai to kahi koi kamiyan na nikale bhai ..phir poore khaandaan mein baat phailayenge agar kuch kami reh gayi ki bachaan ki biwi ne dhang se khaatirdaari nahi ki.!! …lo kar lo baat.
Yeh sab dekh ke hum soch mein pad gaye ki aisi rishtedaari aur rishteydaar kis kaam ke jo kisi pareshaani ya kamiyon ko chhupane ke bajaye usey jag zaahir karein ..issey to laakh guna achhi dosti hoti hai…..jaise Putti aur humari dosti.
IMG_0289
Koi khoon ka rishta nahi hai magar har waqt zaroorat pe woh humare saath khadi rehti hai aur hum uske..ek doosre ki kamiyon ko chhupate hai..saath dete hai aur problems mein ek doosre ka bina koi selfish reasons ke saathbhi dete hai…aakhir kyon ..koi khoon ka rishta to nahi….na koi bandhan hai ..yeh to dil se karte hainhum ek doosre ke liye…..isliye mai samjhti hoon ki dus rishteydaaron se ek saccha dost bhala !
Har insaan ki zindagi mein ek sacha dost bahut zaroori hai..do minute ussey baat karlo aur dil khush ho jata hai …putti to humari diary hai..humare saari baatein jaise hum uspe likh dete hain aur woh usey apne andar chupa leti hai ..meri saari badmashiyon ka lekha joka  usi ke paas hai. Mere liye apni maa se jhoot bhi bol leti  haijab zaroorat padti hai..kai baar galti kiya humne aur maar khayee putti ne..bachpan se humaise hi rahe hain.
Sholay ke jai veeru jaisie dosti hai…..jab bui woh sikka wala scene ke. Baarein mein sochtey hai to emotional ho jaatey hai hm .dharmendra ke liye amitabh ne  jaan daav pe laga diya ..hum bhi putti se kahene ki waqt pade to humare liye jaan daav pe laga de …hahahahahha..aap ko kya laga hum lagayenge?….
Arey aaj tak jo hum usko cheatingbkara ke paas karaye hain uska kahi na kahi to hisaab usko chukana hoga na bhai……! Waiseaisie baat nahi hai ki usko kuch nahi aata ..humko ghar ke kaam mein wohi madad karti hai…..aaj bhi halwa mujhe banana tha par kitchen mein maa ke saath putti lagi hui hai aur hum yahan aaplog se gupshup..
Arey ..bade buzurgo ne kaha hai ki ..bure waqt mein aakhir dost hi dost ke kaam aata hai ..aur isseybura waqt kya hoga ki rishteydaar aa rahey hai …chalo ab hum bhaage nahane warna maa kahegi tayyar nahi hui aur rishteydaar maa ko kahenge …beti ko kuch nahi sikahya ..issey achhinto falane ki beti hai jo is umar mein pora ghar sambhaal leti hai” …. Ufff..mai yeh lecture sun na nahi chahti isliye …bhaagoooonnnn
Kal milte hai fursat se …
Aapki ‘ rishton se ghiri’ Laajo

Sunday, 28 July 2013

Mother India


“Duniya mein hum aaye hai to jeena hi padega.”…yaad hai aapko mother india ka woh poster jismein nargis ke kandhon pe hal rakha hai aur chehre pe struggle ke bhaav ..waahh…mujhe lagta hai kabhie labhie yeh situation sirf ek mother india ki nahi balki is desh ki saari auraton ki hai …jinke kandhe pe hal ki jagah saamj ke kayede kanoon ka itna bada bojh hai jisko kheechte keechte aurat ek din dam hi na tod de.
IMG_0139
Apne gaon ki yehi ek baat hai jo mujhe pasand nahi ..auraton ke saath different treatment..waise yeh sirf sonbarsa ki pareshaani nahi hai balki mujhey lagta hai poore india ki hai. Maa se hmara is baat pe bahut jhagda hota hai ki. Hamesha ladkiyon ke liye alag rules kyon?
Ladko ko itni azaadi aur hum ladkiyon ko dhela bhar bhi nahi ..matlab ratti bhar bhi nahi..matlab ..not even little! Not fair.. Aap humari baat samajh rahe hai na? Par humri maa nahi samajhti… Jab bhi hum bahar khet mein ya nadi pe khelne jaate hai toh woh kehti hai… Laajo ye tujhe shobha nahi deta, tujhe khelna nahi khaana banana aana chahiye.
Hum maa ko kehte hai ki. Jab bhagwan ka naam lete hai toh hum Sita-Ram, Radha-Krishna, iti aadi kehte hai na… toh phir yaha is dharti par ladkiyon ko ladko ke baad kyun rakha jaata hai? Kuch toh gadbad hai na?.. Maa ka chehra dekhne ka hota hai jab hum ee kehte hai ..unke paas jawaab nahi hota …jawaab to hum unlog se bhi chate hai jo kitaab likhte hai humare schoolon ki ..kabhie dhyaan se dekha hai ki  usmein kaise examples dete hai …”raam cycle chalata hai .”.raam paathshala jaata hai ” aur …”meena khana banati hai”..”meena chholha jalati hai” ityaddi ..meena motorcyle chalati hai  aur mohan chholha phhookta hai kyun nahi likhte ?…likh de to shayad aadhe log dheere dheere isey natural maan bhi jaaye..
Par koi hume jitna bhi roke toke ..hum to apni mann ki karenge ..patang bhi udayenge, cricketbhi khelenge aur motorcyle chalane ka mauka mila to woh bhi chala lenge….rok sako to rok lo.
Aapki “revolutionary” Laajo

Saturday, 27 July 2013

Rishtey mein to hum tumhare baap lagtey hain ..aur naam hai..Amitabh Bachhan!!

Bhai waah ..kya naam hai ..sunte hi bada poora parda khul jaaata hai aankhon ke aagey!. Waise naam  to humare bapu ka bhi bachan hai par woh om prakash jaisa feel zyada dete hain !!hahahahahah
Jokes apart.....Bache ho yaa budhe…naati ho ya pote..filmey dekhne ka shauk toh sabhi ko hota. Woh Amitabh kie dialogues,  salman ke dole , shahrukh ki adayen, madhuri ke thumke aur kareena ka roshan chehra.....aisa maza aur kaha!
Saare desh ke bhaanti Filmo ka craze toh Sonbarsa mein bahut hai…! Humare Sonbarsa mein  film dekhna kisi tyohaar se kam nahi ...poore gaon bhar se chanda ikattha hota hai ..poori tayyari hoti hai ..kursiyan lagti hai ..khana peena banta hai. ..Projector aata hai ..Aur phir Saara gaav ikattha hota hai..woh khule aasmaan mein chand sitaron ke neeche baithkar parde par film dekhne ka maza hi kuch aur hai. Kabhi kabhi toh main in filmo ki kahaniyo me kahi dub si jaati hu, pata hi nahi chalta samaya kab kaha nikal jata hai…inki duniya hi kuch alag hai na? Mayavi duniya hai aisa kehte hai…jo bhi hai humko bahut pasand hai.
Image
Bade shahro mein cinema hota hai, par Sonbarsa mein film dekhne ka maza kuch aur hi hai. Yun zoro se seeti maarna..gaano ke steps par naachna..aur phir hafte  bhar tak uske ek ek scene ko  discuss karna. Wahhh...jhooth nahi bolenge, filmo ka craze thoda bahut humein bhi hai. Waise sach bataye toh pure Sonbarsa mein humse bada bachchanji ka fan koi aur dhundhne par bhi naa mile...Humein toh bachpan se bacchanji ke dialogs yaad hog aye the. Hehe jab bacche bahut zidd karte toh main bhi ek –do dialogs suna hi deti hu…waise kaafi eajy hai… yun kamar par rakha haath..thoda jhuke aur kadak aawaaz mein bole..”haeey?”
Bas bas ..ab mera autograph lene mat aa jayiega...photgraph se kaam chala lijiye ..aur phir bhi milne ka mann ho to sonbarsa ka ticket kata lijiye.
Bhai hum bhi kisi celebrity se kam nahi is gaaon mein!..maantey hai na ?
Aapki 'evergreen' Laajo

Bade Shahar Ki Badi Baatein

Hello Jee..mai aaj thoda upset hoon...aaj maa aur mera jhagda ho gaya..
maa keh rahi hai ki shaadi ke baad hum shehar jayenge to apni purani cheezon mein se kuch nahi le jaa sakte....kyunki isey achha nahi maante aur shayad kahi yeh sab chhezein meri  shehar ki nayi zindagi mein theek na baithe...…arey par kya kya phenke hum..humse nahi hoga ..purani hai to kya ..mere liye keemti hai..har cheez ke peeche ek kahani hai. 

Image
Par maa kehtihai kooda hai yeh sab ...isliye mai unse baat nahi kar rahi ..humne bhi bol diya..kya kya chodenge..samaan to samman hai ..goan , dost , parivaar ..yeh sab bhi to shaadi ke pehle ke hain chhod de ka ? Aur aisie baat hai to nahi jaana shehar.....to maa  jhaadu le kar humare peeche daud padi ...lekin hum jo sarpat bhaange hai phir......hahahahah
.aisa nahi hai ki hume sehar dekhne ka shauk nahi ..itna kuch padha hai uske baarein mein..mann to karta hai humara bhi par sirf dekhne ka ..hamesha ke liye jaa ke wahan basna nahi chahte ...gaon chhod ke humara kahi mann nahi lagega yeh hum achhe se jaante hain...Arey…ab jo baat Sonbarsa mein hai wo aur kahan?  Shehar to hum sirf aur sirf ek hi baat ke liye jaana chahte hai ..aagey padhne ke liye..bas
Waise Shahar  ke baarein mein bahut kuch suna hai…bade bade makaan, badi gaadiyan, gaadiyon ka halla gulla..aur na jaane kya kya..aur yeh bhi ki shahar mein  traffic jam bahut hota hai ..sabke paas itni gadiyan jo hai ..matlab ki sadko pe aadmi kam aur gaadiyan zyada dikhti hai ..lo kar lo baat ..phir to gaadi lene ka koi mazaa hi nahi ..humare gaon mein to koi motorcycle bhi jab khareedta hai to  bheed laga ke sab dekhne jaatey hai  aur gaadi aa gai kisi ke paas agar to woh to seena chauda kar ke ghhomta hai ..uske ghar ka pata. Hi badal jaata hai ..log uski gaadi ke naam se. Address batane lagte hai .."woh aagey se bai mudna phir woh laal gaadi wala ghar ayega ..wohi hai harish babu ka makaan !"..aise ho to matlab hota hai phir gaadi rakhne ka
Aur to aur. Suna hai ki shehar meinlog kaam par jaane ke liye train mein safar karte hai…train pe to tabhi safar karte hai na jab bahot door jaana hota hai? Hum to kabhie naa jaye bhai..woh bhi roz roz..itna dor to hum sirf mela dekhne jaa sakte hai bas.
Par ab itna soch ke kya fayda ..shehar to hume ab jaana hi hai shaadi ke baad to bas yehi soch sakte hai ki kuch karke humara mann lag jaye ...kaam bahut muskil hai par mai kuch na kuch dhoond hi loongi..waise ek to fayda shehar ka dikh raha hai hume ...cinema dekh sakte hai jab chahe ..woh bhi saari nayi releases...
Ranbir kapooorr ..tayyar ho jao ..yeh laajo aa raahi hai tumhe dekhne !!
Chalo ab chalte hai ..bye from ..shudh , gaon ki 100% original desi ...
Aapki Laajo

Friday, 26 July 2013

Aur hum paani paani ho gaye ….!!

Barsaat ka mausam aa gaya hai aur shuru huwa hai humari  family ka fav game.. Kal din bhar khela humne  shift mein  ..aur aaj bhi woh chaloon hai .mai kya is gaon mein zyadatar families yeh game khelti hai barsaat ke mausam mein …. Hum kete hai isey …tiptipuwa..
Matlab..ghar ke alag alag hissey mein balti laga ke chhat se tapakta paani ikattha karna aur samay rehte ballti khali karke phir se lagana ..kya kehte hai..race against time..yeh to humari aur baarish  ke beech  permanent competition hai  ki kaun kisko haraata hai ..chhoti ko ismein bahut mazaa aata hai ….usko humne isey khel jaise hi samjhaya hai ..bacchhi hai na ..usko is tapakte chhat ke peeche ki pareshaani ka ahsaas nahi ….
 IMG_0178
Achha hai ..jab tak paisa , pareshaani wagairah samjhe na tab tak achha hai….baarish uska favourite mausam hai shayad aur mera bhi..
Humko to yeh samjh hi nahi aata ki log humpe chillate kyon hai jab hum unpe  paani ek chhetey udaate ho ..arey aapka maan nahi karta kya ki  paani ke ghaddhe ke bagal se jab koi guzar re to chappak  karke paani mein kood ke uspe  chhetein  udayen …mai chhoti aur putti ..humlog to har baar yehi karte hai aur daant bhi khate hai ..par hume koi farak nahi padta.
Bas ek chhez gadbad ho jaati hai aur woh hai  school band … Baarish ki pehli boond giri nahi ki sab  bhagwaan se maangne lagtey hai ki rainy day ho jaye aur is gaaon ke Master log  bhi do minute nahin lagatey rainy day kehke school band karne mein .sabko chhutti chahiye bhai.
 IMG_0185
Waise hum to school band hone pe subah se dispensary chale jaatey hai us din kyunki barsaat mein  Mareezo ki line lag jaati hai..mai sabko samjhati hoon ki bheegne ke baad …bas todha haldi wala doodh peelo to sardi lagegi hi nahi ..ab gaon mein reh kar bheegne se to aap bach nahi sakte par ahtiyat to rakh  sakte hain… Kehte hain na preventio is better than cure.
Har mausam ki achi aur buri baat hoti hai. Lekin hume dono ko accept karna chahiye…yahi to zindagi hai na doston. ..jaise maa ki  daant  aur u ki daant mein chhupa pyaar….Kya kehte …tgoda aap bhi boliye ..mai sirf bolti nahi sunti bhi hoon
Aapki very patient… Laajo

Thursday, 25 July 2013

An apple a day keeps the doctor away..but sonbarsa mein roz apple khayega kaun? Tarbooz a day se kaam chalega kya?

Aaj subah se aankh kholte hi maa humare peeche pad gayi ki bhole naath ka mandir jaake prasaad chadha aaon taki mere rishtey mein koi badha na aaye ..lekin humne unko bol diya ki aaj
humara dispensary jaana kitna zaroori hai ..bhole baba to samjh lenge ..woh to bhagwaan hai..unko prasaad mein deri hogi to woh samjh jayenge lekin aaj kisi ko waqt pe dawaai na di to  bahut gadbad ho jayegi ..aur waise bhi kisi ki sewa karna bhi to utna hi punya ka kaam hai ..i know baba will understand ..humko bahut maantey hai woh yeh hum jaantey hai.
IMG_9948
Waise maante to humo doctor kaka bhi hai dispensarywale jinki mai madad karti hoon roz..dekha jaye to woh yahan ke logo ke liye  bhagwaan ka ek roop hi hai ..afterall bina kisi facility ke poore gaon bhar ka treatment karte hain woh bhi dil se  paison ke liye nahi.
Isliye hum bhi unka saath dete hai ..apni shaanti ke liye apne khali samay mein ..dispensary ko mera doosra ghar hi samjh liye …ya ussey zyda kyunki ghar pe mai jitni hi careless hoon ..yahan utni hi zimmedar ..kaun cheez kaha hai sab mujhe pata hai ..dawa se le kar file tak..doctor kaka kehte rehte hai ki woh kaise manage karenge agar mai chali gayi to par him jaante hai sab manage ho jayega .. Akhiir humne bhi to sab unse hi seekha hai..
Medicines, davai ki chitti padh ke mareejon ko samjhana, patti karna, injection dena, BP check karna – hum yeh sab kar lete hain.
Waise kai log dispensary mein ek ladki ko dekh ke ghabraa jaatey hain ..bhale khud kabhie injection dekha tak na ho par hum injection de payenge ya nahi ispe zaroor apna vichaar suna dete hain ..confidence nahi aata unko ek ladki pe…jab tak doctor kaka khud na kahey ki  Laajo se lagva lo.
Yehi vichaardhara to badalni hia ..time lagega par ho jayega
Yeh hai laajo ka confidence…aap log shehro mein koshish kijiye aur hum yahan apne sonbarsa mein …jung jaari rakhte huwe…
Aapki Laajo

Wednesday, 24 July 2013

Dulhe ki bidayee kyun nahi hoti?

Aaj ki taaza khabar .aaj ki taza kahbar ..sabhi ko yeh soochit kiya jaata hai ki sonbarsa ki laajo ka paas ke hi gaon mein rishta tay ho gaya hai .waise ladka hai paas ke gaon ka par kaam shehar mein karta hai... MBA Ladka hai .aisa rishta laakho mein ek milta hai !!..arey bhai aisa mai nahi kehti aisa to yeh gaonwale keh rahe hain ..aur kya matlab laakho mein ek ..ladka shehar ka hai to kya hum bhi kisis se kam hai kya?
Image
 Koi kami hai to ginwa do ..saare gaon ki sabse padhi likhi ladki hai ..12ve tak, aur gaon bhar ke marizo ka khyaal bhi rakhte hain .. Aur koi muqabla kara ke dikha lo is gaon mein kisi se bhi ..
Kancha khelne ki to classes le sakte hain aur patangbaazi mein to to koi hume picchad hi nahi sakta ..jab meri patang udti hai asmaan mein to gaon mein baccho ki line lag jaati hai kati patange lootne ke liye ..laajo udaati hai aur log apni patange gawaate hain .
Image
 Waise maa kehti hai ki yeh sab gun shaadi mein gine nahi jaatey..shaadi ke liye to ghar sambhalne aana chahiye ..par hum poochte hai kyun bhai..kis kitaab mein likha hai ki sirf ladkiyon ko yeh sirf aana chaiye ..hum to nahi maante ..ab chahe shaadi ho ya na ho.. Waise bhi shaadi mein rakha kya hai ..aapne kabhie gaon ki shaadi attend ki hai ..hum batae hai kya hota hai yahan Shaadi byaah me sab log ekdum tip-taap ban ke aatey hai jaise ki Sonbarsa ke Bacchan, Kapoor aur Khan ho yeh sab.. not to forget Rekha bua, jo khudko Bollywood ki Rekha samajhti hai.. :)
Aur rishteydaar ..ma kasam woh to mahine bhar pehle se ghar aake baith jaatey hain..nahi nahi nahi ..madad karne ke liye nahi bhai ..bas kamiyan nikalne ke liye aur rishta jodne ke liye .. Iska haircut bekaar hai, dahej ki saadiyin ka rang pheeka hai, pulao mein namak zyada tha , falane ki beti ko dekha ..kitna low cut pehan ke ghoom rahi .hai hai !,.wagairah wagairah ..sirf aur sirf gossip..waise iska bhi apna mazaa hota hai
 Phir hoti hai ladki ki bidaai jismein maa baap ke saath poora gaon rota hai ..kyon bhai ..itna rona tha to shaadi jab tai ki thi tab ro lete ..itna kharcha karne ke baad kyon roye .. Aur sabse badi baat ..ladkiyon ko hi kyon bida kiya jata hai.. Dulhe ki bidaai kyon nahi hoti?
 Socho..socho ...jab ladkiyon ko hi ghar sawarti hai to jo ghar pehle se itni mushkil se sawara huwa hai ladki ne usmein hi ladka aake kyon na rahe ..hum dobara mehnat kyon karein??
Sochiye...
Aapki Laajo

Tuesday, 23 July 2013

Education – “Padh likhke kya doctor, engineer banna hai?”


Aaj hum bahut khush hain, kahe ki aaj humara 12th ka exam khatam ho gaya. achha hi gaya aur kyon na jaye.. Arey zor zabardasti se thode na padhe hain balki padhne ka shauk rakhte hain ! .kitaabon se pyaar hai hume..mere baaapu aaj bahut garv mehsoos kar rahe hai ki unki bitiya gaon ki sabse zyada

padhi likhi ladki ho gai hai.. Hasiye mat ...aapke liye 12ve zyada maane nahi rakhti hogi par jis gaon mein ladkiya ya to padhti nahi ya paanchvi ke baad ghar baith jaati hai wahan 12 th tak padhna bahut badi baat hai...

Waise humara bas chale to sabko hi padhna compulsory kar de... khaas kar ladkiyon ko magar zyadatar log humari baat maante nahi ...kehte hai ki ladkiyan padh likh kar kaun sa doctor engineer banengi ?aakhir mein to chhoolha hi phookna hai.. hum lad jaatey hain lekin ki.. choolha puhookne ki kya zarrorat hai ..ab to gas ka zamana hai ! :-D...padhe hote to yeh sab samajhte na.


arey padhai sirf achhi naukri ke liye thodi chahiye... Ab Devdatt kaaka ka hi example le lo .shehar gaye the ..bhook lagi aur ek hotel mein jaake baith gaye ..menu poora english mein aaya to maare sharam ke poocha bhi nahi ,bas list ke ek naam pe ungli rakh ke order de diya aur jab khaana aaya to bade chaav se kha bhi liya... baad mein pata chala murga kha liye ..aaj tak kulli kar rahe hain !!

jab bhi yeh baat yaad aaati hai to haste haste humare aankh se ansoo aa jata hai ..aaj tak is hadse ka mazaak bana huwa hai.

Waise baat sirf mazaak ki nahi hai, Dispensary mein itne patient aatey hai jinko dawai ka naam tak padhne nahi aata ..unko samjhana padta hai ki peeli goli subah aur safed wali shaam ..par agar dono dawa safed hui to hamesha gadbad kar dete hai ..arey itna to padhna aana chahiye ki kya kha rahe hai..pee rahe hain..kis paper pe sign kar rahe hai woh samajh sake ..aaj ke waqt mein bhi na padhna to bahut badi bewkoofi aur galti hai..

Hum to shauk se padhte hain ..kitabon ko dost banaya hai ...aakhir yeh kitaabey hi hain jo hume yahan gaon baithe pori duniya ghuma deti hai ..nayi cheezein seekhati hai warna kuch naya seekhne ka gaon mein option kaha hota hai zyada.

Humare isi shauk ne humko gaon mein bahut popular bhi banaya hai.... Kishan kaka ka court ka kaam ho ya putti ka love letter likhna ho ..sab mein laajo ko hi dhoondha jaata hai. Arey humne to english song ke ek do lyrics bhi rat liye .. ab kisi ki shaadi ho to hume bulatey hai ki -ee laajo ,zara gaa ke sunawo na angrezi gaana aur hum bhi full showoff mein gaa dete hai ."its only words ..n words are all i have to take the heart away ".. khoob taaliyan bajti hai .kisi ko kuch samajh nahi aata par rob poora padta hai!!.. Aur aisa hi rob hum apne sasuraal mein bhi jamayenge.

Sasuraal ..haan mera hone wala sasuraal ! .arey shaadi tay ho gai hai humari...chauk gaye ?.. Phek diya na hum phir ek googly ..ab aap yeh news digest karo .. Kab kaha aur kyon yeh hum phir kabhie batayenge.

Saath hi rahyega...
Aaj ki sabha samapt....aapki Laajo


Monday, 22 July 2013

Naam.. naam hai na… Laajvanti.. yaani Laajo

“Pooch mera kya naav re,
nadi kinaare gaanv re,
peepal jhoome more aangna,
thandi thandi chhavn re…”
Hum hai laajo ..sonbarsa ki laajo . Aur yeh hai humari diary .. Jahan hum apna sukh dukh hasi khela masti mazaak sab aapse baatenge ..waise aap soch rahe honge. Kaun hai yeh gaon ki gawaar aur hum kyon sune iski  kahani?? To hum batate hai ki ..ga se gaon aur ga  se gawaar zaroor hota hai par har gaon wale gawaaar nahi hote ..aur zindagi sirf  shehron mein hi haseen nahi hoti..balki gaon mein bhi hoti  ..

Logon ka gaon ki zindagi ke baarey mein ek alag nazariya hai ..hal bail..khet khalihaaan ..iske ilawa kya rakha hai ?..hum bataye ..bahut kuch !.poori ek zindagi hai yahan jo  bhale hi utni modern ya asaan na ho par hai utni hi dilchasp..
Achha bataiye Aakhiri baar aap apne gaon kab gaye the ?.. Paanch saal pehle , dus saal pehle ya  sirf filmon mein dekha hai ..rangeen dupaatta udati hui kheto mein ladkiya aur Khoob saaara makkhan aur dhoodh ya phir baadh aur sookha … Filmon mein jahan hero chuttiyan manane aata hai aur pyaar kar baithta hai  gaon ki kisi gori se.
Gaon in sab se  kahi zyada hai bhai aur yahan ki zindagi se hum aapko milwayenge Kyunki humko lagta hai ki humara yeh gaon itna sundar hai ki sabko jaanna chahiye humare sonbarsa ke baarey mein ..woh kehte hain na apna bachha sabko pyaara hota hai… Waise yeh baat meri maa pe lagoo nahi hoti ..unko to mai jhalli lagti hoon..sabse jhalli ..duniya bhar ki kamiya mujh mein hi dikhti hai aur gaon bhar ki ladkiyon ka example deti rehti hai ki iski tarah kaam karo..iski tarah pakao aur iski tarah sawron ..hum kyon sawre? Bhai…hum to bas hum hain..apni duniya mein mast ,ab log chahe kuch bhi bole ..ab bolti to maa bhi hai har subah ki hume roz nahana chiaye ..peeche hi pad Jaati hai aur hum unko chhedte hai ki kisi mahapurush ne kaha hai ki “if ur heart is clean then its all that matters.”
Waise naha ke to hum nikalte hain par do minute mein nahaye aur bina nahaye ka fark bata ke dikha do to jaanoon..kyunki tayyar hote hi hum bhhag ke pehle apni gai parbati ko gale lagate hain aur phir daud Jaatey hai  saheliyon ke saath poore gaon mein..phir langdi, pitthu ,kho kho..pakdam pakdai ..khelenge aur woh bhi dhool mitti mein  to naha ke kya teer maar lenge? Baat to sab barabar  hi ho jani hai…ab aap bhi maa ki tarah mat sochna ki naha dhoke ghar pe kyon nahi baithhti? .arey
humko na zindagi azaad panchi ki tarah jeena pasand hai… zindagi hai koi sazaa thodi hai ki  band kamrey mein guzari jaye..
Humko baarish mein nahana , ped pe chadhna , tarbooz churana , pokhra- yaani ki gaon ka pond mein koodi maarna bahut pasand hai . Hum aur meri dost  Putti school ke baad kabhie seedha ghar nahi aaatey ..hamesha thoda dhamachaukdi macha ke , ganne chura ke .. tractor pe sawaari kar ke masti mazaak karke hi pahuchte hai .. Chahe duniya jitna daante ya lecture de .
Waise hume koi zyada lecture de nahi paata kyunki hum itna behas karte hai ..itna behas karte hai ki  saamne wala haar maan hi jaata hai .. Bhai bina logic ke hum kisi ki baat pe aankh band karke chalne wale nahi ..
Haan lekin aap yeh mat sochiyega ki yeh laajo sirf hasi mazaak mein hi rehti hai … Ek aur gaon ki ladki jaise par aisa nahi hai ..hum alag hai … Aapko pata hai khaali samay mein hum sirf kood phaand nahi machate balki apne gaon ki dispensary mein bhi  kaam karte hain …doctor saab ki madad karte hain. .compounder hi samajh lijiye… dawaiyon ki bahut knowledge hai.. Injection bhi lagana aata hai..chauk gaye na aap ..hahahahha ..chaukiye mat ..aise bahut surprises hai mere paas ..apni zindagi ke panne dheere dheere kholenge … saath hi rahiyega.
Tab tak ke liye bye..kya kehte hai fashion se…chow! Aahh spelling welling aap theek theek laga lena..ab itta bhi nahi aata.
Aapki laajo