Aaj ki taaza khabar .aaj ki taza kahbar ..sabhi ko yeh soochit kiya jaata hai ki sonbarsa ki laajo ka paas ke hi gaon mein rishta tay ho gaya hai .waise ladka hai paas ke gaon ka par kaam shehar mein karta hai... MBA Ladka hai .aisa rishta laakho mein ek milta hai !!..arey bhai aisa mai nahi kehti aisa to yeh gaonwale keh rahe hain ..aur kya matlab laakho mein ek ..ladka shehar ka hai to kya hum bhi kisis se kam hai kya?
Koi kami hai to ginwa do ..saare gaon ki sabse padhi likhi ladki hai ..12ve tak, aur gaon bhar ke marizo ka khyaal bhi rakhte hain .. Aur koi muqabla kara ke dikha lo is gaon mein kisi se bhi ..
Kancha khelne ki to classes le sakte hain aur patangbaazi mein to to koi hume picchad hi nahi sakta ..jab meri patang udti hai asmaan mein to gaon mein baccho ki line lag jaati hai kati patange lootne ke liye ..laajo udaati hai aur log apni patange gawaate hain .
Waise maa kehti hai ki yeh sab gun shaadi mein gine nahi jaatey..shaadi ke liye to ghar sambhalne aana chahiye ..par hum poochte hai kyun bhai..kis kitaab mein likha hai ki sirf ladkiyon ko yeh sirf aana chaiye ..hum to nahi maante ..ab chahe shaadi ho ya na ho.. Waise bhi shaadi mein rakha kya hai ..aapne kabhie gaon ki shaadi attend ki hai ..hum batae hai kya hota hai yahan Shaadi byaah me sab log ekdum tip-taap ban ke aatey hai jaise ki Sonbarsa ke Bacchan, Kapoor aur Khan ho yeh sab.. not to forget Rekha bua, jo khudko Bollywood ki Rekha samajhti hai.. :)
Aur rishteydaar ..ma kasam woh to mahine bhar pehle se ghar aake baith jaatey hain..nahi nahi nahi ..madad karne ke liye nahi bhai ..bas kamiyan nikalne ke liye aur rishta jodne ke liye .. Iska haircut bekaar hai, dahej ki saadiyin ka rang pheeka hai, pulao mein namak zyada tha , falane ki beti ko dekha ..kitna low cut pehan ke ghoom rahi .hai hai !,.wagairah wagairah ..sirf aur sirf gossip..waise iska bhi apna mazaa hota hai
Phir hoti hai ladki ki bidaai jismein maa baap ke saath poora gaon rota hai ..kyon bhai ..itna rona tha to shaadi jab tai ki thi tab ro lete ..itna kharcha karne ke baad kyon roye .. Aur sabse badi baat ..ladkiyon ko hi kyon bida kiya jata hai.. Dulhe ki bidaai kyon nahi hoti?
Socho..socho ...jab ladkiyon ko hi ghar sawarti hai to jo ghar pehle se itni mushkil se sawara huwa hai ladki ne usmein hi ladka aake kyon na rahe ..hum dobara mehnat kyon karein??
Sochiye...
Aapki Laajo
No comments:
Post a Comment