Monday, 22 July 2013

Naam.. naam hai na… Laajvanti.. yaani Laajo

“Pooch mera kya naav re,
nadi kinaare gaanv re,
peepal jhoome more aangna,
thandi thandi chhavn re…”
Hum hai laajo ..sonbarsa ki laajo . Aur yeh hai humari diary .. Jahan hum apna sukh dukh hasi khela masti mazaak sab aapse baatenge ..waise aap soch rahe honge. Kaun hai yeh gaon ki gawaar aur hum kyon sune iski  kahani?? To hum batate hai ki ..ga se gaon aur ga  se gawaar zaroor hota hai par har gaon wale gawaaar nahi hote ..aur zindagi sirf  shehron mein hi haseen nahi hoti..balki gaon mein bhi hoti  ..

Logon ka gaon ki zindagi ke baarey mein ek alag nazariya hai ..hal bail..khet khalihaaan ..iske ilawa kya rakha hai ?..hum bataye ..bahut kuch !.poori ek zindagi hai yahan jo  bhale hi utni modern ya asaan na ho par hai utni hi dilchasp..
Achha bataiye Aakhiri baar aap apne gaon kab gaye the ?.. Paanch saal pehle , dus saal pehle ya  sirf filmon mein dekha hai ..rangeen dupaatta udati hui kheto mein ladkiya aur Khoob saaara makkhan aur dhoodh ya phir baadh aur sookha … Filmon mein jahan hero chuttiyan manane aata hai aur pyaar kar baithta hai  gaon ki kisi gori se.
Gaon in sab se  kahi zyada hai bhai aur yahan ki zindagi se hum aapko milwayenge Kyunki humko lagta hai ki humara yeh gaon itna sundar hai ki sabko jaanna chahiye humare sonbarsa ke baarey mein ..woh kehte hain na apna bachha sabko pyaara hota hai… Waise yeh baat meri maa pe lagoo nahi hoti ..unko to mai jhalli lagti hoon..sabse jhalli ..duniya bhar ki kamiya mujh mein hi dikhti hai aur gaon bhar ki ladkiyon ka example deti rehti hai ki iski tarah kaam karo..iski tarah pakao aur iski tarah sawron ..hum kyon sawre? Bhai…hum to bas hum hain..apni duniya mein mast ,ab log chahe kuch bhi bole ..ab bolti to maa bhi hai har subah ki hume roz nahana chiaye ..peeche hi pad Jaati hai aur hum unko chhedte hai ki kisi mahapurush ne kaha hai ki “if ur heart is clean then its all that matters.”
Waise naha ke to hum nikalte hain par do minute mein nahaye aur bina nahaye ka fark bata ke dikha do to jaanoon..kyunki tayyar hote hi hum bhhag ke pehle apni gai parbati ko gale lagate hain aur phir daud Jaatey hai  saheliyon ke saath poore gaon mein..phir langdi, pitthu ,kho kho..pakdam pakdai ..khelenge aur woh bhi dhool mitti mein  to naha ke kya teer maar lenge? Baat to sab barabar  hi ho jani hai…ab aap bhi maa ki tarah mat sochna ki naha dhoke ghar pe kyon nahi baithhti? .arey
humko na zindagi azaad panchi ki tarah jeena pasand hai… zindagi hai koi sazaa thodi hai ki  band kamrey mein guzari jaye..
Humko baarish mein nahana , ped pe chadhna , tarbooz churana , pokhra- yaani ki gaon ka pond mein koodi maarna bahut pasand hai . Hum aur meri dost  Putti school ke baad kabhie seedha ghar nahi aaatey ..hamesha thoda dhamachaukdi macha ke , ganne chura ke .. tractor pe sawaari kar ke masti mazaak karke hi pahuchte hai .. Chahe duniya jitna daante ya lecture de .
Waise hume koi zyada lecture de nahi paata kyunki hum itna behas karte hai ..itna behas karte hai ki  saamne wala haar maan hi jaata hai .. Bhai bina logic ke hum kisi ki baat pe aankh band karke chalne wale nahi ..
Haan lekin aap yeh mat sochiyega ki yeh laajo sirf hasi mazaak mein hi rehti hai … Ek aur gaon ki ladki jaise par aisa nahi hai ..hum alag hai … Aapko pata hai khaali samay mein hum sirf kood phaand nahi machate balki apne gaon ki dispensary mein bhi  kaam karte hain …doctor saab ki madad karte hain. .compounder hi samajh lijiye… dawaiyon ki bahut knowledge hai.. Injection bhi lagana aata hai..chauk gaye na aap ..hahahahha ..chaukiye mat ..aise bahut surprises hai mere paas ..apni zindagi ke panne dheere dheere kholenge … saath hi rahiyega.
Tab tak ke liye bye..kya kehte hai fashion se…chow! Aahh spelling welling aap theek theek laga lena..ab itta bhi nahi aata.
Aapki laajo

No comments:

Post a Comment