Aaj subah subah ek badi hi ajeeb ghatna ghati, Woh hum na snaan karne gaye the ghusal khane mein, aur waha na..upar se baarish hone lagi. Ek sec toh hum ghabra hi gaye the..aur phir baarish ruk hi nahi rahi thi. Waise sacchi bataye toh baarish mein nahana hume bahut pasand hai..aur ghusal khane mein baarish mein nahakar na humko bahut majja aaya!!
Nahane ke baad hum chai peene baithe, chai daani mein ubla paani tha aur uske sath thi mithai, jo chakhne par bilkul shakkar si lag rahi thi. Chai patti di toh thi lekin pudiya mein bandhkar, hume toh kachu samajh naa aa raha tha. Humka chai toh peeni hi hai humne thaan li, yo daant se humne pudiya todi aur patti ko dala diya cup mein..ban gayi humari ‘Laajo isspecial’ chai!!
Ee sab lag toh acha raha tha, par jab hum chakhe toh chai ekdum hi kadwi thi. Aisi chai log kaise peete hai??
Phir ek aur baat hui, Isaana naam ki ladki aayi thi ghar, Nikhil ki friend lag rhi thi. Woh hume achanak se dekh puchne lagi, ke hum kaun hai?? Saare ghar mein sannata sa chaa gaya..aur jab use pata laga ki hum Nikhil ki dulhan hai woh bahut hi gusse mein lag rhi thi. Ab bhi hamare samajh mein ek baat nahi aayi, woh ladki itna gussa kyu kar rahi thi..hum samajhte hai woh Nikhil ki mitra hogi, aur usne unhe shaadi ke bare mein na bataya..par itna gussa karna bhi theek nahi tha. Usne toh Nikhil ko apni baat kehne ka mauka tak nahi diya..bechara Nikhil. Humri wajah se use bahut kuch sunna pad raha hai, jhelna pad raha hai, aur yeh baat hume bahut thes bhi pahuchati hai..kaash hum bhi uski madad kar sakte.
Iske baad kyat ha, hume apne kamre mein jaane ko kaha gaya..Jaate jaate humne Gunjan mein ek dost dekha..woh apne bare mein bataye jaa rahi thi, aur jab usne hume apne bare mein pucha. Hum kehna toh bahut kuch chahte the, par keh na sake. Maayi ki bahut yaad aa rhi thi. Yaha sab log kitne alag hai, kitne naye hai..maayi aur sonbarsa ki yaadein chodee na choote. Dil ki gustakhi ne aakhon ko chalka hi diya..
Aapki Bholi si Laajo
No comments:
Post a Comment