Aaj na hum ghajab khush hai!
Nikhil ne hume ghar lautne par... ek gift diye! Hum itne khush huye..ke raaste par hi tohfa kholne lage!
Nikhil ne kaha tab, hum andar lekar gaye usse... kabh kabhi na hum bhi choti bacchi jaise behave karte.
Humne jhat fat ghar jaake gift khola.. toh kya! Bholenath ji ki yeh badi tasveer! Mann khus ho gaya unke mukh dekh kar!! Humne jhat se tasvir wall pe tanga diye.. maano bholenath ji humre saath hi ho...
Mann prassanaa ho gaya ekdum.. maano itne din hum kuch miss kar rahe the.. aur kya? samaj hi na aa rha tha? Bas inki hi kami thi hamre kamre me.. Nikhil ne toh Bholeji ki tasvir dekhkar kaha... Mindblowing!! :) Aur phir achhi khabar yehi khatam nahi hui ..nashte ke table pe bhi aaj mazaa aa gaya ..jab ayesha didi ne jaanbookh ke english mein bola yeh soch ke ki hum to samjhenge nahi ..humne unki baat ka jawaab de diya ..Farratedaar angrezi unhone gunja ko bola ki ki isko bolo mere honewLe pati ke saamne nahi ayegi...humne bhi keh diya.. bhai nahi aayenge aapke unke saamne... Toh yeh sunkar Aisha ke haath ka Double roti.. arey matlab bread.. satt karke gir gaye..dang reh gayi woh kasam se ki hum angrezi samjh sakte hain...bahut mazaa aaya ..phir chachu se humari school ki bahut baat hui aur hume aisa mehsoos huwa ki shayad chachu ke nazar mein mai thoda bahut paas ho gai . Pata nahi ayesha didi kab hume apnayengi ..ab woh itti zyada tip top hai ki hum utta to nahi ban sakte par agar woh humko samjhe ki koshish arey to unko pata chalega ki hum bhi gawaar nahi ..par nko samjhna nahi aur hum unke liye abhi zyada koshish karna nahi chahte ..samay pe chhor diya hai yeh sab hume
Humto bas apni zimmedar nibhate rahenge aur chhoti chhoti khushiyan dhoondhtee rahengey. Is do chhoti jeet se humara din ban gaya tha ..ab bholebaba se umeed hai ki woh aise hi achhi achhi chhezey karte jayen huare saath... Ab ke liye...bas itna hi.. .....Mindblowing Bholenathji ki pyaarisi Laajo!

No comments:
Post a Comment