Friday, 30 August 2013

Ek nayi shuruwat..

Ye gaav, khet, nadiya, bhed bakriya, hamre dost log, ye khula neela asmaan! Ye sab hamara hai… ya tha? Ye Sonbarsa humme sama gaya tha…aur hum is Sonbarsa me!
Subh uthkar maano mein ab tak ek sapna dekh rahi thi.. Hamra chota parivaar, humri over emotional maiya, humre dost, woh harey khet..woh suhaani hawa… Sab kuch ek sapne ki tarah hamari aankhon se ozhal ho gaya tha, hum Sonbarsa peeche chod aaye the.
Haaaaye! Hum Delhi mein the. Itnaa heavy mann hamra kabhi na hua tha… Maano mein iss sab ke liye abhi taiyaar hi nahi thi.Image
Jab hum Nihkill ke ghar pahuche mann mein ek bechaini si thi…hum bahut hi ghabra gaye the , Pata nahi kya hoga, naye log, naya shahar…hum yaha kya karenge. Life kaise beeteg?! Hazaron prashna hamare dil-o-dimag mein uth khade hue the.
Nikhil ka ghar vakehi kaafi bada tha, maano hum kisi mahal mein aa gaye ho, itta bada hall tha aur sofa hi sofa jaise koi showroom mein aa gaye..itte bada kamra gaon mein hota to usey vivah ghar mein badal dete!!
Hum apna ghar pichey chodd aaye the.. hamra mann ekdum ajeeb behave kar raha tha. Nikhil ki mai ne Nikhil ko bahut bhala bura sunaya, par Nikhil ne sab kuch bina kuch kahe sun liya tha. Humre Sonbarsa mein agar aisa kuch hota toh humri over dramatic maiya ne bhi aisa hi kuch kiya hota. I think..saari mom kahi na kahji..ek jaisi hi hoti hai!
Ab toh hum ummeeed karte hai ki Nikhil ke ghar ki jagmagahat..inn keemti cheezo ke beech hume bhi kahi ek choti si jagah mil jaaye. Hum inn sabse bilkul hi alag hai, bilkul juda hai…hum yaha fit ho bhi payenge ya nahi. Inn sab mein gul milne ki hum koshish toh zaroor karenge ..par hume gul milne ka mauka milega bhi yaa nahi.
Aage kya hoga iska koi andazaa nahi, Nikhil kya kahenge iska bhi koi jawab nahi. Sonbarsa ko hum miss karenge yeh baat toh pakki hai.
Aapki lonely and homesick Laajo.

Tuesday, 27 August 2013

Hamra send-off


Aaj hamari zindagi humein ek naye mod par le aayi hai…Dadaji ke kehne par Nikhil ne humse shaadi karne ke liye haan kardi. Aaj gaav ke mandir mein hamari shaadi Nikhil se Ho gayi..Log khush lag rahe the par humari samajh mein to kuch nahi aa raha tha ..ghar laut ke aaye to log vidaai ki gaatha khol ke baitha gaye ki kya hogi kaise hogi …humne bhi apni purani cheezon ko chhatna shuru kiya aur usmein mili meri ek copy ..diary samjh lijiye jismein maine pichli baar apni shaadi ki kuch baatein likhi thin..phir to itne saari baateyho gai ki waqt hi nahi mila .. .
GUDI_16_7 Usmein ek panna mila jo meri vidaainko le kar tha …jab ghar mein mahol khush tha  ..rok tok ke beech meri shaadi aur vidaai ki baatey bhi thi.. Tab doctor ucle ne bhi diya tha mujhe farewell .. Aap sunege maine kya likha tha ….to aaj apke liye kholti hoon ek purana panna..Kitni bhi aawaz do Maa ke kaano main toh aaj kal sirf ‘shenai’ ki aawaz hi goonjti hai. Bhala kyon koi sunna bhi chahega who “papappeeeeeeey”. Kuch dino se chachiji ne tok tok ke jaahir kar hi diya hai ki humme ab dawakhaane jana bhi band karna padega.
Shaadi se humme aur aajadi milni chaaiye par yahan toh bandishein badh rahein hain. Badi khisiyaati hain chachi humme tokte hue!Kuch dino pehle ki hi baat hai…Humm toh sakuchhhate hue gaye doctor chahcha ke paas , par darwaaze ke bahar marejon ki line dekh bhaage kaam sambhalne.Phir kya tha beet gaya saara din, aur humme hawa hi nahi.Shaam main doctor chacha humme khud bulla kar bole” meri laajo ki shaadi ki khabar, aur mujhe hi pata nahi? Mujhse chupa rahi thi kya pagli”. Hum toh sharma sharma ke laal peele hog aye aur Chaahca bhi hass ne lagge. Phir jor se aawaz laga dawakhaane ke sab logon ko bolle’ Arre hummari bitiyaan ki bidai toh yahan se hi hogi” Saab bade khuush huye  aur Chaha ne kaha ‘Isse send-off dete hain”
Doctor chahcha ne pados ke Rajendar ko bheja kilo bhar jalebi mangwane ke liye aur hum daude Putti ko lane ke liye, aakhir humari pehli party hummari saheli ke binna nahin na honi thi!
Shaadi ho chuki thi…Humme sab ne bahut pyaar se aashirwaad diya, aur hummne sab ko jalebi khilaayi. Hummar Sonbarsa ke nathuji ki jalebi hai hi itni badhiya, bas ser bhar lao aur party shuru. Na jaane seher waale party party ke liye itni tayaari ki jaroorat samajhte hain.Bas sab ne jee bhar jalebi khaayi , (aur jinhe chini mana hai unhone sirf 1 tukda )aur humme yeh mehsoos karvaaya ki shaadi karke hum inko kitna miss karenge.
Na jaane phir kabhi kaam main itni khushi mile na mile. Logon ki vyangya bhari baatein bhi aaj achhi lag rahi thi , badi mushkil se ji ko sambhaala, par aankhen toh mui chalak hi gayi.
Sab se shaadi pe aane ki darkhwast karke aa rahi hu. Ek baar aur dekhne ke mann hai.
Aap bhi aaiyega, apni Laajo ke byah main
Laajo  Uff..
Aaj yeh panna padh ke mann bhar aaya ..ab jo vidaai hai usmein darr  aur anishchitta zyada hai ..dekhte ab samay kaisie karwat lega…

Friday, 23 August 2013

Woh kehte hai nah…A Friend in need is a friend indeed..bas kuch waisa hi.

Charo aor se daant mil rahi thi, log hume bhala bura keh rahe the. Maaiya ne bhi hume khara khota suna diya, hume sabse bura tab laha jab Bawji ne bhi hume daant diya. Bawji hume kabhi kuch bhi nahi kehte the, unhone hume apne haath ki hatheli mein paal poskar bada kiya tha. Hume kachu hi samajh nahi aa raha tha..lag raha tha as if duniya khatm ho rahi ho.
Hum toot chuke the, jo kuch hua tha uske baad iss sabse dur jaana hi theek lag raha tha. Par ek baat mere samajh nahi aa rahi thi, iss sab mein hamari galti hi kya thi?
Humara saath dene ki bajaay sab hume daantne lage the..aur yehi baat humne Nikhil se bhi ki. Usse toh laga hum suicide karne jaa rahe the. Pagla kahika..hum Laajo…aur suicide????...hum toh jaa rahe the shahar padhai karne, naukri karne..taaki hum apne maa-bawji ko bata sake hum bhi kaabil ban sakte hai! Bas woh nadi mein humara pair na fasa hota toh hum kabke shahar pohoch bhi gaye hote!!
Jab hum Nikhil se pehli baar mile hum soch bhi nahi sakte the ke hum kabhi inse baat bhi karenge. Par aaj Nikhil ne hi mujhe nadi se bachaya, meri madad ki..aur toh aur mera paanv bhi maroda. Keh raha tha..”Ho gaya na fit and fine…zor ka jhatka dheere se lage”..jitna dard chot lagne par nahi hua tha..utna uske jhatke se hua par woh madad karna chahta tha..which was sweet.
GUDI_13_8
 
Usne mujhe ghar se bhagne par daanta aur ghar jane ke liye samjhay. Keh raha tha humse kai zyada dukh aur dard hamare maa-bawji ko hota hoga jab unhe pata chalega hum ghar se bhag gaye hai. Usne mujhe aage padhne ke liye protsahan bhi diya.
Inn sab mein ek dost ki tarah woh meri zindagi mein aaya. Humari pehli mulakat ke baad hume toh laga tha Nikhil woh typical shahari ladko ki tarah hoga, jiske liye zindagi ek bada jashn hai..aaj use baat karke maine jaana mein kitni galat thi. Aaj humne ek bahut hi badhiya cheez sikhi hai..zindagi mein kisiko bhi kabhi bhi theek se jaane parkhe bina..unko ache ya bure mein toul ne ki bikul galti nahi karni chahiye!!..humne toh kardi par aap nahi kariyega.
Aaj kal zindagi bahut saari nayi cheezein sikha rahi hai, ab dekhte hai aage aage hota hai kya..
 
Aapki Laajo

Tuesday, 20 August 2013

Shaadi..Sauda..aur Ek Scooter.

Oh yarr..yeh rasme, yeh reeti riwaaz khatm hi nahi hote. Ek rasam puri hui toh dusri uth khadi  hoti hai..I know I know meri shaadi ho rahi hai..par yeh kaha ka insaaf hai? Main nahi kar rahi koi shaadi-vaadi.
Woh shahari babu ki saheliyo ne hume sajaya sawaara tha, iss naye jode..naye kangan zhevar mein hum bahut jach rahe the. Jab kisine kaha “Laajo tum koi ‘princ
ess’ lag rahi ho.”  Yeh sun mere chehre ki muskaan ruke na ruk rahi thi.
Isi kshan dhol nagade ki awaaz hamare ghar ke bahar goonj rahi thi..jab humne khidki ke bahar jhank kar dekha toh yeh bade patakhe fut rahe the, aasmaan mein aatishbaziyo ki raunak thi…log “aaj mere yaar ki shaadi hai” ki dhun par thirak rahe the! Yeh hui na baat…ise kehte hai baaraat! Yeh sab dekh mano meri khushi ki koi seema hi na thi.
Par kuch hi palo mein bahar sab shant ho gaye, baaraat s
uni pad gayi thi. Aur phir zoro shoro se hulla gulla shuru ho gaya. Hum bahut hi ghabra gaye the, humne bahar aakar dekha toh humare honewale sasurji humare Bapu ko kisi karanvash daant rahe the. Yaha tak ki shadi todne ki baat kar rahe the. Humare Bavji ne unhe manane ki bahut koshish ki, unke saamne haath jod kar khade ho gaye.
 
GUDI_11_8
“Arre naye scooter ka baat kiya tha, par hume purana scooter thama diya”
Bavji ne gidgidakar kaha..“Bhole baba ki kasam khakar keh rahe hai..hum ekdum naya isscooter laye hai”
“Hum aapke pair padte hai samdhiji…apni bitiya ki khushi ki hum bheekh maangte hai”
Hamare Bavji ki yeh dasha humse dekhi nahi jaa rahi thi, ek scooter ke liye hamare Bavji ki maan sammaan ka khyaal na rakh Samdhiji taanv se mandap ke bahar chale jaa rahe the. Ek scooter ke liye meri shadi todne ko taiyaar ho gaye. Yeh wahi scooter tha jo humne badmaashi mein gira diya tha. Meri ek choti si badmaashi ki keemat mere Bavji ko apne maan sammaan se chukani pad rhi thi. Yeh sab dekh hum toot hi gaye.
Yeh shadi nahi ek sauda hai, aur hum yeh jaan gaye the. Jis ghar mein ek scooter ki keemat ek bahu se zyada ho..uss ghar mein hum kabhi na khush rahenge yeh bhi hum jaan gaye the.  jin logon ke liye yeh gehne, chand rupiya aur ek scooter ki keemat kisi insaan ke maan samman se  badhkar hai ..humare maa baapu ke izzat se badhkar hai…unke saath hum jee nahi sakte.
Phir jo humne kiya woh bilkul sahi tha.
“Agar aapki nazar mein iss scooter humse zyada ka mol hai na ..toh humari nazar mein bhi aapke bête se zyada iss scooter ka hi mol hai!”
Aur mene uss scooter ko hi var mala pehna di.
Humari nazar mein hum…jo bhi bole woh sola aane sahi bole hai! Sachi bataye toh hum iss dahej ki pratha se ub chuke hai..jo log ek insaan ka mulya scooter ya gehno se badhkar karta hai..uske saath naata hum kabhi na jodenge..chahe humara byaah hi kyu na toot jaye.
Kya aapko lagta hai…humne jo kiya wo sahi kiya? Hum aapse jaanna chahenge..
 
Aapki Laajo

Tuesday, 13 August 2013

Kya Shadi..Ek Sauda hota hai?

Jab hum ghar laute..waha khadi thi ek chamchamati motorcycle, ghar ke andar maa naye gehne dekh rahi thi..meri behne un gehno ko pehen khud ko nihaar rahi thi! Dikhne mein toh sabhi kaafi khush lag rahe the, koi bhi ladki yeh sab dekh bahut khush hoti…par mera mann kahi nahi lag raha tha.
Main hu wahi ‘khushnaseeb ladki’ Laajo, jiski shadi ke liye yeh sab ho raha tha, jiske liye yeh joda, yeh gehne liye jaa rahe the… “MBA  Ladka hai .aisa rishta laakho mein ek milta hai” ..yeh baat aaj bhi mere kaan mein goonjti hai! Sab khush lag rahe the, Maa aur Baavji ne bahut bhag daud ke baad meri shadi ke liye yeh zevar, motorcycle, aur paise…bahut bahut zyada paise ikattha kiye the. Yeh khushi ki betuki chaddar apne andar chupe dard ko dhak rahi thi. Mano khushiya hote hue bhi naa ho, yeh shadi hote hue bhi na ho.
 Image
 Ek baat mujhe kuch tok si rahi thi, Maa aur Baavji ki khushiyo mein kisine na dekha ho par humne bakhubi pehchaan liya tha, yeh Dahej hai bahut hi buri cheez. Ek aur prashn hai, zara controversial hai par main puch hi lungi….yeh dahej hamesha ladki walo ko hi kyu dena padta hai? Ladke wale bhi toh de sakte hai…hai na? Aur dena bhi chahiye…aakhir ek ladki apna ghar parivaar, apne saare rishtey peeche chod ek anjaan aadmi ke naam apna bhavishya likh deti hai. Itna balidaan hum kare aur upar se yeh sehne ke liye aapko tohfa bhi de? Bhai wah, yeh kaha ka insaaf hua?
Humne akhbaar mein padha tha dahej lena aur dena, dono hi..kanoon ki nazar mein apraadh hai. Phir bhi kyu yeh pratha aaj bhi chal rahi hai yeh meri samajh ke bahar hai. Dahej ka yeh pakhand sirf gaav khede tak hi seemit nahi hai, shehro mein bhi padhe likhe log yah pratha bade shaan se chalate hai. I think dahej hi saari samasyao ka jad hai, dahej dena padta hai isiliye toh log bête ko beti se badhkar maante hai. Beti ki padhai ke liye paise nahi hote, par bête ko vilayat bheja jata hai.
Aaj meri shadi, dahej mein mere sasuraal walo ne nakad 80 hazar rupey maange hai. Agar aap meri jagah hoti toh aap kya karti? Mujhe likeye aur bataaye.
Aapki Laajo

Friday, 9 August 2013

Hum sab ek hai!!

Aaj toh bahut maza aa gyaa..uss Shehri babu ko hum ek hi din mein do dafa
hara aaye hai..haan! Jaanne ke liye padhiye aage..
Ek baat batao..log bhed bhaav kyu karte hai? Hamare samajh se toh bilkul hi
bahar hai…Humare Sonbarsa mein in dino kuch shehari log aaye hai…pata nahi
apne aap ko kya samajhte hai! Humne toh socha tha Bhole baba ne hum sabhi ko
ek sa hi banaya hai..koi uch neech nahi, nahi koi bhed bhaav.. par kuch log
samjhe kaha! Toh hua yun ke ..hum baithe the apni Jamuniya ko nehlane
..subah se usne kachu khaya bhi nhi tha…upar se Maiya ne kaha tha chawal
bind do, bhaiya sachi batau toh hum bahut hi busy the…tabhi hamari saheli
daudti hui hamare paas aayi aur boli..
“Woh shahar ka ladka log hai na..woh ek ke baad ek hamari patang kaant te
jaa rahe hai…..chalo jaldi..!!”
Fir kya tha..humne choda apna saara kaam aur daud pade..jab Sonbarsa ki
izzat ki baat aati hai na hum kisi ki nahi sunte ha!!
 
Image
Jab hum waha pahuche toh dekha wahi shehri log..wahi gaadi wala ladka yun
taav mein chauda hoke khade the mano koi mahayodha ho!! Humne bhi mann hi
mann mein keh diya… “Bacho ko harakar khush toh bahut honge tum..ab paala
pada hai Laajo se, ji haan!”
Fir kya tha ho gayi patangbaazi ki competition..hum bhi piche hat ne walo
mein se thodi hai, ho jaye do do haath maidaan – e –jung mein.
Kabhi uski patang upar..kabhi hamari..daanv pech ka khel chal raha
tha..main bas jeetne hi wali thi aakhi Sonbarsa ki izzat daav par thi,
haarti kaise? Par lo kar lo baat..pata nahi kaise par Maiya usi kshan waha
aa pahunchi..fir kya tha mere laakh kehne par bhi maiya nahi maani aur
mujhe waha se le chali!
Jeet ke itne kareeb the hum! ..khair koi ni Bhole baba dusra mauka jaroor
denge hume pata tha..aur woh mauka aa bhi gaya usi dopahar..babaji ki
haveli mein wahi gaadi wale ladke se fir mulakat ho gyi.. aur iss baar
chess ke khel mein humne use pachaad hi diya!...bechara yun apna sir pakde
soch rha tha main haara toh bhi kaise..haha!!
Iss sab ke baat ek cheez toh pakki samajh aayi.. aap chahe gaav se ho, ya
phir shahar se..hum sab ek hi mitti se bane hai. Koi uch neech nahi!
Toh fir milte hai aaj shaam theek 7.30 baje..bhuliyega nahi! Samjhe ya
samjhau?
Aapki gustaakh laajo!

Sunday, 4 August 2013

English babu ..desi chhori. aur ..thodi dil ki gustakhi !

Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhh.........hahahhahaahha......
Arey ghabraiye mat ..aapki laajo ko koi daura nahi pada na hi kisi bhoot pret ka saya huwa hai.
Hum to aaj bahut khush hai isliye samjh nahi aa raha hai ki khushi ke maare cheekhe aur hase ya pehle hasey phir cheekhey.
Huwa yun ki aaj humne kisi ko april fool banaya woh bhi august ke mahine mein!
Sonbarsa ki routine wali life mein  aur khaas kar huamri life mein ek halchal hui..ek bahut hi badhiya mulaqaat  hui!
Hum to haste khelte putti se mil ke ghar ko lut rahe the ki kya dekhte hai sadk ke beech humai gai parbati aur  ussey almost takrati hui ek jeep .. Humari to maano jaan hi nikal gayi ..pair maano barf ban ke zameen mein jam hi gaya ho ..lekin bhole baba ki kripa hi samajhiye ki aakhir samay mein gadi  ganndhe mein jaa phasi aur bhayankar hadsa hone se bach gaya ..humari parbati baal baal bachi.
ljjo
Pehle to humne daud ke apne gai ko gale lagaya aur dekha ki woh theek hai ki nahi aur phir issey pehle ki hum ee dekhte ki woh gaadi wale theek hai ki nahi humne uski awaaz suni ..uski kiski ..arey uski ..woh ladka jo gaadi chala raha tha ...shehar ka ladka apne kuch doson ke saath tha woh ..aur dost bhi kaise ..ek se badh kar ek  namoone... . Do tho ladkiya thi usmein jinhone bitta bhar ka kapda pehna tha ..jee haan ..humare sonbarsa mein ..chhoti si frok pehan ke khadi thi ek ladki  jo shuru hone se pehle hi khatam ho rahi thi.....arey humri chhoti bhi ussi lambi fock pehanti hogi .. Aur ladki hi kya ladka log bhi aise hi ghutne tak ki lambi kacchi pehan ke khada the...aur sabse mazedaar tha woh ladka jiske sur pe chidiya ke ghosle jaise baal the ..arey aapko lag raha hoga ki hum baatey bana rahe hai .par maa kasam .. Woh sab aise hi namoone the jaise hum bata rahe hai .ek se badh kar ek cut piece!,
Lekin humara dhyaan unpe kam tha aur us ladke pe zyada jo is waqt humse behas karne laga ...dekhe mein theek tha ..gora chitta ..poore shehri kapdo mein ..agar humara mood theek hota to shayad hum usko smart soch bhi lete par humara to matah ghooma huwa tha kyunki ek to usne humri parbaati ko daraya upar se boota to dekho ..ulta humpe hi chadha jaa rah tha ..ulta chor kotwaal ko daatey ...bola hume gai charane ki tameez nahi ..hume ..laajo ko ...!,
Phir kya tha..humne un sab ki band baja di ..kaise? Arey humne unse bola harjana nikalo...humari parbati ko darane ke liye...koi aur hota to hum ee na kehte par shehar walon ka ghamand todna bhi zaroori tha khas kar tab jab u ke haav bhaav aisa ho jaise ki gaonwalon ko kuch aata jata nahi aur oo ehsaan kar rahe ho humare sonbarsa pe ..poore 6oo rupaiye nikalwaye humne ...bahut mazaa aaya ...par kuch to baat thi us shehri mein bhi ..usoolon ki baat kar raha tha ..khair jaate jaatey look de kar gaya ..aur kuch to hai jo hume bata raha hai ki yeh hum dono ki aakhiri mulaqaat nahi balki shuruwaat hai...hume aisa lagta hai ki hum phir takrayenge....dekhte hain..agli baar is tashan mein jeetta kaun hai ...hum tayyar hain.
Aur sabse maze ki baat yeh ki ab tak aap apni laajo ko sunte aaye hai ..par aaj se aap humari zindagi ko dekh bhi sakenge aur uska hissa bhi banege .... Kyunki hum milenge aapse ...aaj shaam 7.30 baje..to dekhiye aaj lajo ki yeh interesting mulaqaat !!
Aapki gustaakh laajo!

Ramesh ..suresh aur kumbh ka mela!

Sonbarsa ki zindagi mein July aur august ka mahina sabse eventful hota hai ..kyunki baadh ya sookhe ke ilawa yeh apne saath ek aur cheez lata hai .... shraavan ka mela!!
Gaon bhar se kaanwadiye nikalte hai ganga maiyya ka pavitra paani laane ke liye lekin issey hume matlab nahi ...hume to intezaar rehta hai sonbarsa kenmele ka. Jo kisi kumb ke mele se kam nahi ! Haan yeh alag baat hai ki koi yahan bicchda nahi..kisi ko jaanboojh ke bhi chhod ke aao bheed mein to woh waapis laut aata hai.
Mela ..yeh   Shabd to aap logon ki zindagi se shayad gayab hi ho gaya hoga aur agar yaad bhi hoga to sirf yeh ki yeh to aamir khan ki ek picture thi par humare liye ek melaa aaj bhi utna hi exciting hai jitna ki saalon pehle humari amma ke liye hota tha jab entertianment ka koi aur zariya nahi tha jaise tv, cinema wagairah wagairah.
Image
Jab raat ko aasman mein  roshni yani light har thodi der pe chamkte huwe ek taraf se dooji taraf  jaye to samjh lo  mela shuru ho gaya hai aur circus wale aa gaye hai !! Kam se kam.hazaar waat ki unki focus light  raat ko pure aasman mein har thodi der pe jab pachhas kos  door tak gaon mein har baccha bolta hai bKi .."utha jaa bapu ..mela lag gaya hai !!  ...auratein  naye  kapde silwne ki tayyari shuru karti hai aur aadmi log apni apni jebeon mein hone wale chhed se kaapna shuru kar dete hain....
Hume pata hai mela sun ke aap soch rahe honge ...how outdated !! Par hum sach bata rahe hai ..kabhie gaon aa kar dekhiye ..issey zyada mazedaar cheez aur koi nahi...circus ki rang birange kapde mein ladkiyan..joker ki harkatein..hawai kartab yani flying trapeeze jinke aasman mein ucchal kood  dekh ke humara dil itna zoro ka dhadhakta hai ki maano kahi steam engine ne seeti di ho... hawa mein kya kalabaazi khate hain..baap re baap......aur ek humare mayee hai jo hume khatiya se bhi koodne se daanti hai ..par waha khoob taali bajati hai .
Par Hume to sabse zyada maza aata hai .."maut ka kuwa "dekhne mein....dekhe hai aap kabhie?..jab ek kuwe jaise bade se katore mein motorcycle wAle khatarnaak stunt karte hain...us waqt waha khade sabhi darshako ki saasey mano tham se jaati hai aur goonjti hai sirf ek awaaz...motorcycle ki  broom broom....roye khade ho jaatey hai humare to !  Dhoom picture ke john abraham bhi sonbarsa ke motorcycle walon ke aagey fail hai !
Mela ghoomne ke liye aaj shaam se tayyari ho rahi hai..putti ki amma ne to maano apne shaadi ka lehenga hi nikal liya ho ...saj to aise rahi hai jaise ki mela nahi balki apni shaadi mein jaa rahi hai ..humne aur putti ne to apna gullak tod liya hai...putti ko choodiyan khareedni hai aur hume to banddok se nishana laga ke gubbare phodne hai ....aur uske baad giant wheel pe baithna hai ..pichli baar maayee ko bhi jabran baitha diya tha..pure time muh mein anchal aise daba ke baithi thi mano ki  agar darr se chhekne ki koshich bhi ki to kahi kaleja muh se baahar na aa jaye! ..bahut hasey they hum sab .....aaj unhone hume kasam diya hai ki koi jholla nahi jhoolana aur humne bhi unko ladies promise kar diya hai .....
To ab hum chale mele ke liye tayyar hone ..aakhir maa ko phir se jhoola jo jhulana hai ..arey bhai ladies promise to hoti hi hai todne ke liye ..hai na  !!
hahaha..aaj mayee ki khair nahi..!
Aapki laajo

Saturday, 3 August 2013

Boodhe Bargad ki chudail !!

Chahe Arab desho mein tel khatam ho jaye ya america ke pass se parmadu hathiyaar aur cheen se aadmi  khatam ho jaye par humare sonbarsa mein do aisie cheez hai jo kabhie khatam nahi hogi ..ek to fursat aur doosri bhoot pret ki kahnaiya !!
Aur yeh kahaniya bhi is beintiha fursat ka hi natija hai shayad ..isliye to is gaon mein. Har tarah ke bhoot milte hai. ..tailor made.. ..chaukiye mat …radio wali chudail..jisko radio sunne ka shauk hai, talaab ka dhobi jo aadhi raat ko kapde dhota hai,  hatkatta kisaan jo raat ko hal chalata hai,  purani haveli ki badi begum jinki hasi goonjti hai aur sabse mashoor boodhe bargad ki chudail jo naraaz ho jaye to aapko hawa mein utha ke patakti hai …. Jee haan …Yakeen nahi aata to aa kar kisi se pooch ke dekhiye …. Kuch log poori history bata denge ..kuch log to unke rishteydaaron se milwa denge aur kai aise bhi hai kahenge ki woh insab se mil chuke hai aur agar aapki himmat ho to woh unse milwa bhi de!!
 
IMG_9946
Garmiyon ki raat mein jab sab bahar charpai daal ke sote hai to aise kissey bahut chalte hain…bijli to rehti hi nahi zyadatar raaton mei to kuch andhera , kuch mahol aur kuch kissey banane ka shauk rakhne wali public  janam deti hai ek aur naya bhootiya kissa…phir woh itna failta hai ki dheere dheere woh gaon ka hissa hi ban jaata hai . Nateeja yeh ki kai log isey sach maan baithte hai aur phir shuru hota hai dos n donts yani ki bach bachaav ke tareeke.
Jaisa ki humare gaon ke sabse purane bargad ke liye hai kuch rules ..kehte hai ispe chudail ka waas hai ..to koi bachha waha akela nahi jaata , akele ped pe chadhne wale ko woh aksar patak deti hai ..bargad ki taraf se guzartewaqt chappal haath mein le lete hain log aur koshish yeh hoti hai ki peeth karke na guzre shaam ke baad. Waise hume lagta hai yeh sab kahaniya failayee gayi hai taki koi bachha akele ped pe na chadhe ya koi khatre wala kaam na kare ..kahi idhar udhar bhatke na…baatey manwane ke liye aksar Darr ek bada hathiyar hota hai.
Waise yeh achha business bhi hai kyunki kuch log to bhoot utaro specialist ban ke ghar kharcha chalate hain….Humne kitni baar samjhaya ki aadmi beemar pade ya daura lagey to doctor kaka ke pass dispensary le chalo par log sunte kaha hai ..darr ko paalne ka shauk hai shayad sab mein kahi.
Isiliye to jitna purana yeh bargad ka ped hota jayega utna hi jawaan us bargad ki chudail ka kissa.
Par hume dara sake abhi sonbarsa mein aisa koi pret aatma paida nahi hui ..hum to sirf aur sirf apni amma se darte hain .hahaha
Aapki ‘antar aatma’ laajo

Thursday, 1 August 2013

Sonbarsa fashion week !!

Humare sonbarsa mein ek nayi beemari phailie hai  ..na malariya ...n lavaria ..isey "fashionaria" ka bukhaar kehte hai aur iska to koi ilaaj nahi bhai..
Badalte waqt ki hawa sonbarsa se bui guzri hai aura ise guzri ki jahan pehle log kapde silwate waqt yeh dhyaan rakhte the ki  ek blouse zyada se zyada saree pe chal sake ya kurta itna comfortable ho ki garmi mein taqleef nahi ho wohi ab loggo ka dhyaan ispe zyada rehta hai ki matching correct hai ki nahi aur kurta figure ko nihaar raha hai ki nahi.
Waise ek tarah se achha hi hai ...gaon ka standard badh gaya hai .... Pehle jahan sab amol palekar hi dikhte the ab shahrukh , salman aur ranbir se koi kam nahi !!
Hadd to yeh ho gayi hai ki jab raatki shaadi mein bhi log kala chashma laga ke ghoomne lagey.. Humane to ek baar galti se ek aadmi  ko uth ke apni seat bhi de di thi aur issey pehle ki haath pakda ke baithate pata chala ki woh to dekh sakta hai .. Bhole baba ne bacha liya us din humko warna bahut sharminda hona padta.
IMG_9990
Aur to aur pehle jahan laal aur gulaabi sirf ladkiyon ka rang mana jaata tha wohi aajkal gaon bhar ke ladke log bhi rangeen bushart pehan ke ghhoomne lage hai ..ek din  pados ke babloo ne aisie rangeen shirt pehni ki. Muhalle ke saare kutte peeche pad gaye ..uko bhi shayad samjh mein aa gaya tha ki gaon mein kuch ulta huwa hai !
Sabse zyada hairani to humko Tight jeans ko dekh ke hota hai ...humare gaon mein isey kehte hai .bandook ki nali wali pant ..ekdum donaali lagti hai ..humko to ee samajh mein nahi aata ki isko upar chadhate kaise hai ....lagta hai jaise kapda shareer pe rakh ke silwa diya hai ..zyada uthenge baithenge to kabhie bhi silayee khul sakti hai !!, aur humare  padoski rekha chachi..madhuri dixit ki itni badi fan ..khaas lucknow jaa ke hum apake hai kaun wali neeli sadee khareed ke layee thi aur waisa hi blouse bhi banwaya tha ..unko dekh ke to hume bhi gelel chala ke maarne ka mann kar raha tha ..kya kehte hain..boodhi ghodi laal lagaam...waise unko madonna chachi  ke  naam se bhi jaana jata hai ...mayyat mein bhi chamkele kapde pehanna nahi bhoolti jaise ki koi pop singer ho.
Inhi kuch logon se to gaon mein raunak bani rehti hai aur rangeen hi sahi ..shukar hai abhi tak kapde na pehanne ki shehar wali badi bimari yaha tak nahi pahuchi.
Aur hum ..bhai humare liye to fashion wohi jo hum kare ..kyunki .bachhan ji ne kaha hai ..hum jaha se khade hote hain..line wohi se shuru hoti hai!
Aapki..fashion-na-able Laajo