Oh yarr..yeh rasme, yeh reeti riwaaz khatm hi nahi hote. Ek rasam puri hui toh dusri uth khadi hoti hai..I know I know meri shaadi ho rahi hai..par yeh kaha ka insaaf hai? Main nahi kar rahi koi shaadi-vaadi.
Woh shahari babu ki saheliyo ne hume sajaya sawaara tha, iss naye jode..naye kangan zhevar mein hum bahut jach rahe the. Jab kisine kaha “Laajo tum koi ‘princ
ess’ lag rahi ho.” Yeh sun mere chehre ki muskaan ruke na ruk rahi thi.
Isi kshan dhol nagade ki awaaz hamare ghar ke bahar goonj rahi thi..jab humne khidki ke bahar jhank kar dekha toh yeh bade patakhe fut rahe the, aasmaan mein aatishbaziyo ki raunak thi…log “aaj mere yaar ki shaadi hai” ki dhun par thirak rahe the! Yeh hui na baat…ise kehte hai baaraat! Yeh sab dekh mano meri khushi ki koi seema hi na thi.
Par kuch hi palo mein bahar sab shant ho gaye, baaraat s
uni pad gayi thi. Aur phir zoro shoro se hulla gulla shuru ho gaya. Hum bahut hi ghabra gaye the, humne bahar aakar dekha toh humare honewale sasurji humare Bapu ko kisi karanvash daant rahe the. Yaha tak ki shadi todne ki baat kar rahe the. Humare Bavji ne unhe manane ki bahut koshish ki, unke saamne haath jod kar khade ho gaye.
“Arre naye scooter ka baat kiya tha, par hume purana scooter thama diya”
Bavji ne gidgidakar kaha..“Bhole baba ki kasam khakar keh rahe hai..hum ekdum naya isscooter laye hai”
“Hum aapke pair padte hai samdhiji…apni bitiya ki khushi ki hum bheekh maangte hai”
Hamare Bavji ki yeh dasha humse dekhi nahi jaa rahi thi, ek scooter ke liye hamare Bavji ki maan sammaan ka khyaal na rakh Samdhiji taanv se mandap ke bahar chale jaa rahe the. Ek scooter ke liye meri shadi todne ko taiyaar ho gaye. Yeh wahi scooter tha jo humne badmaashi mein gira diya tha. Meri ek choti si badmaashi ki keemat mere Bavji ko apne maan sammaan se chukani pad rhi thi. Yeh sab dekh hum toot hi gaye.
Yeh shadi nahi ek sauda hai, aur hum yeh jaan gaye the. Jis ghar mein ek scooter ki keemat ek bahu se zyada ho..uss ghar mein hum kabhi na khush rahenge yeh bhi hum jaan gaye the. jin logon ke liye yeh gehne, chand rupiya aur ek scooter ki keemat kisi insaan ke maan samman se badhkar hai ..humare maa baapu ke izzat se badhkar hai…unke saath hum jee nahi sakte.
Phir jo humne kiya woh bilkul sahi tha.
“Agar aapki nazar mein iss scooter humse zyada ka mol hai na ..toh humari nazar mein bhi aapke bête se zyada iss scooter ka hi mol hai!”
Aur mene uss scooter ko hi var mala pehna di.
Humari nazar mein hum…jo bhi bole woh sola aane sahi bole hai! Sachi bataye toh hum iss dahej ki pratha se ub chuke hai..jo log ek insaan ka mulya scooter ya gehno se badhkar karta hai..uske saath naata hum kabhi na jodenge..chahe humara byaah hi kyu na toot jaye.
Kya aapko lagta hai…humne jo kiya wo sahi kiya? Hum aapse jaanna chahenge..
Aapki Laajo
No comments:
Post a Comment