Tuesday, 13 August 2013

Kya Shadi..Ek Sauda hota hai?

Jab hum ghar laute..waha khadi thi ek chamchamati motorcycle, ghar ke andar maa naye gehne dekh rahi thi..meri behne un gehno ko pehen khud ko nihaar rahi thi! Dikhne mein toh sabhi kaafi khush lag rahe the, koi bhi ladki yeh sab dekh bahut khush hoti…par mera mann kahi nahi lag raha tha.
Main hu wahi ‘khushnaseeb ladki’ Laajo, jiski shadi ke liye yeh sab ho raha tha, jiske liye yeh joda, yeh gehne liye jaa rahe the… “MBA  Ladka hai .aisa rishta laakho mein ek milta hai” ..yeh baat aaj bhi mere kaan mein goonjti hai! Sab khush lag rahe the, Maa aur Baavji ne bahut bhag daud ke baad meri shadi ke liye yeh zevar, motorcycle, aur paise…bahut bahut zyada paise ikattha kiye the. Yeh khushi ki betuki chaddar apne andar chupe dard ko dhak rahi thi. Mano khushiya hote hue bhi naa ho, yeh shadi hote hue bhi na ho.
 Image
 Ek baat mujhe kuch tok si rahi thi, Maa aur Baavji ki khushiyo mein kisine na dekha ho par humne bakhubi pehchaan liya tha, yeh Dahej hai bahut hi buri cheez. Ek aur prashn hai, zara controversial hai par main puch hi lungi….yeh dahej hamesha ladki walo ko hi kyu dena padta hai? Ladke wale bhi toh de sakte hai…hai na? Aur dena bhi chahiye…aakhir ek ladki apna ghar parivaar, apne saare rishtey peeche chod ek anjaan aadmi ke naam apna bhavishya likh deti hai. Itna balidaan hum kare aur upar se yeh sehne ke liye aapko tohfa bhi de? Bhai wah, yeh kaha ka insaaf hua?
Humne akhbaar mein padha tha dahej lena aur dena, dono hi..kanoon ki nazar mein apraadh hai. Phir bhi kyu yeh pratha aaj bhi chal rahi hai yeh meri samajh ke bahar hai. Dahej ka yeh pakhand sirf gaav khede tak hi seemit nahi hai, shehro mein bhi padhe likhe log yah pratha bade shaan se chalate hai. I think dahej hi saari samasyao ka jad hai, dahej dena padta hai isiliye toh log bĂȘte ko beti se badhkar maante hai. Beti ki padhai ke liye paise nahi hote, par bĂȘte ko vilayat bheja jata hai.
Aaj meri shadi, dahej mein mere sasuraal walo ne nakad 80 hazar rupey maange hai. Agar aap meri jagah hoti toh aap kya karti? Mujhe likeye aur bataaye.
Aapki Laajo

No comments:

Post a Comment