Sonbarsa ki zindagi mein July aur august ka mahina sabse eventful hota hai ..kyunki baadh ya sookhe ke ilawa yeh apne saath ek aur cheez lata hai .... shraavan ka mela!!
Gaon bhar se kaanwadiye nikalte hai ganga maiyya ka pavitra paani laane ke liye lekin issey hume matlab nahi ...hume to intezaar rehta hai sonbarsa kenmele ka. Jo kisi kumb ke mele se kam nahi ! Haan yeh alag baat hai ki koi yahan bicchda nahi..kisi ko jaanboojh ke bhi chhod ke aao bheed mein to woh waapis laut aata hai.
Gaon bhar se kaanwadiye nikalte hai ganga maiyya ka pavitra paani laane ke liye lekin issey hume matlab nahi ...hume to intezaar rehta hai sonbarsa kenmele ka. Jo kisi kumb ke mele se kam nahi ! Haan yeh alag baat hai ki koi yahan bicchda nahi..kisi ko jaanboojh ke bhi chhod ke aao bheed mein to woh waapis laut aata hai.
Mela ..yeh Shabd to aap logon ki zindagi se shayad gayab hi ho gaya hoga aur agar yaad bhi hoga to sirf yeh ki yeh to aamir khan ki ek picture thi par humare liye ek melaa aaj bhi utna hi exciting hai jitna ki saalon pehle humari amma ke liye hota tha jab entertianment ka koi aur zariya nahi tha jaise tv, cinema wagairah wagairah.
Jab raat ko aasman mein roshni yani light har thodi der pe chamkte huwe ek taraf se dooji taraf jaye to samjh lo mela shuru ho gaya hai aur circus wale aa gaye hai !! Kam se kam.hazaar waat ki unki focus light raat ko pure aasman mein har thodi der pe jab pachhas kos door tak gaon mein har baccha bolta hai bKi .."utha jaa bapu ..mela lag gaya hai !! ...auratein naye kapde silwne ki tayyari shuru karti hai aur aadmi log apni apni jebeon mein hone wale chhed se kaapna shuru kar dete hain....
Hume pata hai mela sun ke aap soch rahe honge ...how outdated !! Par hum sach bata rahe hai ..kabhie gaon aa kar dekhiye ..issey zyada mazedaar cheez aur koi nahi...circus ki rang birange kapde mein ladkiyan..joker ki harkatein..hawai kartab yani flying trapeeze jinke aasman mein ucchal kood dekh ke humara dil itna zoro ka dhadhakta hai ki maano kahi steam engine ne seeti di ho... hawa mein kya kalabaazi khate hain..baap re baap......aur ek humare mayee hai jo hume khatiya se bhi koodne se daanti hai ..par waha khoob taali bajati hai .
Par Hume to sabse zyada maza aata hai .."maut ka kuwa "dekhne mein....dekhe hai aap kabhie?..jab ek kuwe jaise bade se katore mein motorcycle wAle khatarnaak stunt karte hain...us waqt waha khade sabhi darshako ki saasey mano tham se jaati hai aur goonjti hai sirf ek awaaz...motorcycle ki broom broom....roye khade ho jaatey hai humare to ! Dhoom picture ke john abraham bhi sonbarsa ke motorcycle walon ke aagey fail hai !
Mela ghoomne ke liye aaj shaam se tayyari ho rahi hai..putti ki amma ne to maano apne shaadi ka lehenga hi nikal liya ho ...saj to aise rahi hai jaise ki mela nahi balki apni shaadi mein jaa rahi hai ..humne aur putti ne to apna gullak tod liya hai...putti ko choodiyan khareedni hai aur hume to banddok se nishana laga ke gubbare phodne hai ....aur uske baad giant wheel pe baithna hai ..pichli baar maayee ko bhi jabran baitha diya tha..pure time muh mein anchal aise daba ke baithi thi mano ki agar darr se chhekne ki koshich bhi ki to kahi kaleja muh se baahar na aa jaye! ..bahut hasey they hum sab .....aaj unhone hume kasam diya hai ki koi jholla nahi jhoolana aur humne bhi unko ladies promise kar diya hai .....
To ab hum chale mele ke liye tayyar hone ..aakhir maa ko phir se jhoola jo jhulana hai ..arey bhai ladies promise to hoti hi hai todne ke liye ..hai na !!
hahaha..aaj mayee ki khair nahi..!
hahaha..aaj mayee ki khair nahi..!
Aapki laajo
No comments:
Post a Comment