Thursday, 10 October 2013

Ee Pyar kaise hota hai?

Aaj hum aapko humre ‘Bilack Tea’ pasand karne wale pati parmeshwar ke bare kuch kehna chahenge!  Hum sham ko na jab unke kamre mein gaye..waha hum dekhe unka saara kapda  yaha waha bikhra pada tha..ee sab toh chalta hai..hai na? Uu dil ke bahut ache hai.. bahut hi awesome hai, itna toh hum jaan hi chuke hai. Unhone humra saath kabhi nahi choda hai, aur har mod par humra sahara ban khade hue hai. Ab toh lagta hai.. hum unko bahut chahne lage hai..ishh!
Hum aisa sune the, jab pyar hota hai na..aisa hi hone lagta hai. Humri life mein kayi museebatien hai, sach mano toh puri life hi ulat pulat gayi hai…par jabse Nikhil ji ko hum chahne lage hai mano humri zindagi mein kuch galat na ho sake hai. Waise toh hum kabhi sharmate nahi hai par ee kehne mein thodi hichak zaroor ho rahi hai, kaa karein aakhir hum ek ladki hi hai. :P..lagta hai humko Nikhil ji se prem ho gaya hai..

GUDI_46_4 - Copy
Ab humein subah sham bas Nikhil ji ki hi yaadein aati rehti hai, aur har din unki khoobsurat yaadon mein guzar jata hai..Main Nikhilji ko aur ache se jaanna chahti hoon, unki pasand napasand jaanna chahti hoon, aadatein sikhna chahti hoon..
Pata nahi humein kya hua…hum Nikhil ji ke kamre mein gaye aur unki cheezon ke saath khelne lage…unki shirt pehni, unka perfume lagaya..mano aisa laga jaise hum unme hai aur wah hum mein.
Hum soch rahe the, itne dino se humne maa-bawji se koi baat chit nahi ki hai, uu bhi humka yaad kar rahe honge..toh kyu na unhe ek khat likh de? Aur likha bhi humne ek pyar bhara khat!
Hum nikle iss khat ko post karne, par raste mein humein pata hi nahi chala hum kaha nikal gaye. Chalte chalte rasta hi bhul gye, aur iss logo se bhare shahar delhi mein kahi ghum se gaye. Hum aapko bata rahe hai, rasta bhul jana koi choti cheez nahi hai.Hum kshano ke liye toh hum bahut hi ghabra gaye the…samajh hi nahi aa raha tha ke kya karein..kaise nikle iss musibat se. Tabhi ek tarkeeb sujhi..paas hi k e ek telephone booth se humne  Nikhil ji ko phone lagaya. Waha uss telephone booth ke paas khade hum bechaini se unka intezaar kar rahe the.
Aur kuch hi minuto mein Nikhil ji humein waha mil hi gaye…unhe dekh mano aisa lag raha ho jaise..humra hero hi aaya hai humne bachane. Haaye…aakhir jaan chooti. Thank you Nikhil Ji..kaash hum keh paate hum unse kitna pyaar karte hai
Ek cheez jo humne iss puri ghatna se yeh sikhi hai ki kisi bhi anjaan shahar mein apna khyaal rakhna bahut hi zaroori hota hai. Hum koshish karenge ke ise na dohraye..aap bhi iss baat khyal rakhiyega. Theek hai?
Aapki Laajo

Thursday, 3 October 2013

Unchi dukaan ..pheeka pakwaan

Kabhie kabhie hume lagta hai ki. Zyada chamak dhamak se door hi rehna chaiye kyunki inke peeche ka andhera zyada ghehra hota hai .. Humko humare gaon ki saadi bina batti wali life hi pasand hai ..nahi samjhe kya ki hum kya keh rahe hai to samjhate hain...humre maa bapu aur duniya ko lagta hai ki humri lottery lag gayi aise bade ghar mein shaadi karke ...par issey achha tha ki hum kisi chhote madhyam vargiya parivaar mein bhyaate..kam se kam sab cheez ka hissa hote ..sab ek jaise hote aur khushi to rehti. 
Ab yehhi dekh lijiye
.....neeche sangeet ka function chal raha tha gaane baj rahe the.. aur hum yaha apne room mein kitab padh rahe hai! ..Neeche mehmaano ki swagat mein sajavat ki gayi thi, ghar mano mahal lag raha ho...log bhi bade saj dhaj ke aaye hai, sangeet mein yeh baat hai toh shadi mein kya hoga Ram ji hi jaane. Woh filmon mein hota hai kuch waisa hi lag raha tha...agar humko neeche jaane bhi dete na toh bhi hum nahi jaate, uu sab full ingliss logo ke samne hum woh kya kehte hai..narvuss ho jate! :p..na baba hum toh yehi theek hai..apne room mein.FB_post_lajjo_3Oct
 
Waise music baj raha tha..toh humre pair bhi apne aap theerakne lage, akele naachne ka maza hi kuch aur hai, apne hi khayalon mein dube..na kisi cheez ka koi sankoch..yehi toh khubi hai khayalon ki, apne khayalon mein aap jo bhi chahein kar sakte hai, jo bhi chahe ban sakte hai. Hum toh mast hoke naach rahe the, tabhi humre meethe sapne mein ek lambi si break laga di . Kisne? Aisha ke hone wale pati Siddharth ne.
 
Humein na pata tha ki baat yaha tak badh jayegi, ek acha bhala ..padha likha ladka, jiski shadi hone wali hai..aisa kuch kar sakta hai, hum soche bhi nahi the. Jab baat humre maan-sammaan par aaye hum bhi bade bado ke chakke-chuda sakte hai. Usne humare sath ched chaad ki, toh humne bhi rakh diya uske gaalon par ek zordaar thappad.
Bhala koi bhi humare sammaan ke sath yun khel nahi sakta, humra najayaz fayda nahi utha sakta..humein pata hai iske natije bahut hi bade honge, shayad hum phir se kisi bade problem mein fass sakte hai..par hum galat nahi hai!! Hum apne aap ki suraksha mein zaroor khade honge..aur humein bharosa hai ki Nikhil bhi humein zaroor samjhenge.
 
Aapki Nidar Laajo

Saturday, 28 September 2013

Hame ek chotta friend mil gaya!

Haa! Sahi sune hai aapne… Chiku hai uska naam. Bada hi pyara aur shararati bhi!
Woh apne chayya ka bitwa hai.. Aaj toh hume apne Sonbarsa ke din yaad aaye! Haay.. kya din the hamre chotte se Sonbarsa me :) Din bhar khel kud.. khet me tehelna, saheliyon ke saath masti karna, nadiya kinare khoob dhoom machana! Arey baapre… sab gaav ke naak me dam kr diye the.. hahaha.. kher …sab chod diye hai ab toh..
Ek baat toh hai in yaadon ki.. kya kehte angrezi me.. memories…
Jab bhi yaad aati hai..mann ko bhar deti hai.. bass uss pal me hum jaa pohochte hai… jaha sab hamre log, hamre gaaon me khus khushaal the… Hey Bholeji… humre ghar parivaar, dost, saheli, gai, khet sab ka khayal rakhna aap… Haa! Sab hum aapke bharose chodd aaye hai..
Kher yeh mui memories… le gayi na hume kahi door? Uff.. toh hum kya keh rahe the?
Chiku… haan, hamra chotta sa friend… Jab se woh aya ghar me.. Ekdam jaan aa gayi..
Hume toh Cirket khelne keh diye chiku ne… Arey aur humse konsa ruka jaa rha hai?
Cirket nahi.. hum ball uchalne ka game khele… ye maza aaya.. itne dino baad!
Hamre toh chehre pe raunak la di chiku ne.. :) Bada hi sweet sa baccha hai woh..
Ghar bhar uchal kood.. bhag daud… Wah maza aa gaya…

Aur maza ki saza bhi hui! Kaise? Arey hamre khelte khelte kon aa gaya?
Nikhil ki amma! Barkha ji aur Naani maa.. aa gayi. Hey bhagwan! Humra aur chiku ka muh khula ka khula reh gaya.. Bure fasey laga.. Fir ye daatna shuru.. Shaila aunty, Chaya, Chiku aur mujhe.. aisa lag raha tha kisi army me bharti hue hai..
Bass humse dekha na gaya.. keh diye humne.. ‘Saara kasoor hamra hai’… aur kya.. Kisiko bachane ke liye …apne sar pe iljam le liya toh konsi badi baat?
Naani ma… hume toh Mother Teresa boli… hahaha ..itna hasne aya!
But Barkha ji ne kaha, jisne ganda kiya… wohi saaf karega.. Toh kya hum lag gaye.. saafsafai me..
Arey ye kaam karne se konu chota ya bada nahi hota.. Sorry kehne se.. galti maannese konu toofan nahi aa jayga… Iss mamle me toh hum bade.. woh kya kehte hai.. cool hai! ;)
Hai na?
Sab thik ho gaya badme.. Chaya ko bahut bura laga.. Hmmm … arey baccha hai chiku shararat toh karega hi. Hakk hai uska!
Humne Chaya ko bhi samjhaya… Usse bhi dilasa diya.. woh hume thankyou bol rahi thi… dhatt pagli! Isme kya thankyou aur kya.. Sab ko smajna aur sachka saath dene me konu burai nahi!
Yeh humra mantra hai!
Aap bahut acchi hai.. aisa Chaya keh rahi thi.. Hmmm …accha laga sunke..
Bass yun hi chal raha hai ab.. Roz ka kuch naya dhama chaukdi! Hehehe…
Chalo milte hai fir…
Aapki ‘cool’ Laajo

Tuesday, 24 September 2013

Mindblowing Bholenath ji!!

Aaj na hum ghajab khush hai!
Nikhil ne hume ghar lautne par... ek gift diye! Hum itne khush huye..ke raaste par hi tohfa kholne lage!
Nikhil ne kaha tab, hum andar lekar gaye usse... kabh kabhi na hum bhi choti bacchi jaise behave karte.
Humne jhat fat ghar jaake gift khola.. toh kya! Bholenath ji ki yeh badi tasveer!
Mann khus ho gaya unke mukh dekh kar!!
Humne jhat se tasvir wall pe tanga diye.. maano bholenath ji humre saath hi ho...
Mann prassanaa ho gaya ekdum.. maano itne din hum kuch miss kar rahe the.. aur kya? samaj hi na aa rha tha? Bas inki hi kami thi hamre kamre me.. Nikhil ne toh Bholeji ki tasvir dekhkar kaha... Mindblowing!! :)
 
GUDI_35_11 - Copy
 
 
Aur phir achhi khabar yehi khatam nahi hui ..nashte ke table pe bhi aaj mazaa aa gaya ..jab ayesha didi ne jaanbookh ke english mein bola yeh soch ke ki hum to samjhenge nahi ..humne unki baat ka jawaab de diya ..Farratedaar angrezi unhone gunja ko bola ki ki isko bolo mere honewLe pati ke saamne nahi ayegi...humne bhi keh diya.. bhai nahi aayenge aapke unke saamne... Toh yeh sunkar Aisha ke haath ka Double roti.. arey matlab bread.. satt karke gir gaye..dang reh gayi woh kasam se ki hum angrezi samjh sakte hain...bahut mazaa aaya ..phir chachu se humari school ki bahut baat hui aur hume aisa mehsoos huwa ki shayad chachu ke nazar mein mai thoda bahut paas ho gai .
 
Pata nahi ayesha didi kab hume apnayengi ..ab woh itti zyada tip top hai ki hum utta to nahi ban sakte par agar woh humko samjhe ki koshish arey to unko pata chalega ki hum bhi gawaar nahi ..par nko samjhna nahi aur hum unke liye abhi zyada koshish karna nahi chahte ..samay pe chhor diya hai yeh sab hume
Humto bas apni zimmedar nibhate rahenge aur chhoti chhoti khushiyan dhoondhtee rahengey.
Is do chhoti jeet se humara din ban gaya tha ..ab bholebaba se umeed hai ki woh aise hi achhi achhi chhezey karte jayen huare saath...
Ab ke liye...bas itna hi..
.....Mindblowing Bholenathji ki pyaarisi Laajo!

Thursday, 19 September 2013

Kya soche the..aur kya ho gaya!

Humri khushi fooli na sama rahi thi jab Nikhil ne humein apne ghar vapas aane ko kaha ..laga jaise Nikhil ne humein apna liya hai. Apne ghar mein jagah di hai. Shahar vapas aakar hum bahut excited the..par jab hum ghar pahuche waha ek ajeeb si khamoshi thi, mano jaise toofan ke pehle ki shanti ho.
Hum soche the, ab sab kuch theek ho jayega, sab khushi se rahenge.. aur agar nah bhi hua toh hum adjust kar lenge ..par jab Saasuji ne humein unke ghar mein phir se dekha, unke gusse ki seema nah rahi!!
Jis toofan se bach bhag rahe the, woh toofan aa hi gaya. Baat badhte badhte yaha tak pohoch gayi ke unhone ek bahut hi kathor nirnay le liya. Unhone thaan li hai ki iss ghar mein ya toh woh rahegi ya main.!!! Humein toh andaza bhi nahi tha ke baat yaha tak badh jayegi… aur iss sab mein kahi na kahi hum apne aap ko hi doshi paate hai!
Nikhil ne humein pure ghar mein ghumne azaadi di thi! Hum bahut khush the…aur hum karein toh bhi kya..ek hi room mein char diwalo ke beech band rehna, na bhai na..humse naa ho payega! Humne socha aaj sab ke saath subah subah nashta karne baitha jaaye..hume thodi pata tha humre room ke bahar aane se aisa pahad tut padega! Jab Nikhil ki maayi ne ghar chodkar chale jaane ka faisla kiya..humre paairo tale zameen hi nikal gayi!!3
Arrey chahti toh humko daant leti ..maar leti par apna hi ghar chhod ke jaane ka faisla kyu kar liya? Humko unka yeh nirnay samajh hi nahi aa raha tha ..aur toh aur waha Nikhil bhi nahi the. Ayesha di ko kuch kehne ki zarurat nahi thi, unki nazre hi sab kuch bayaan kar gayi. Humre bheetar hum bhi apne aap ko doshi maante hai..aur jiska darr tha wahi hua, Barkha ji ne kisi ki ek naa suni aur ghar chod diyaa..!
Hazaron khyaal humre mann mein daud rahe hai..ab kya hoga?? ..Barkha ji ke bina ghar kaise chalega, jab ki Ayesha di ki shaadi bas kuch hi din dur hai?
Humein toh laga tha thoda time lagega par antah Nikhil ka pariwaar humein apna hi lega..par yaha toh situation bigadti hi jaa rahi hai, hum karein toh bhi kya..bas ek hi ummeed hai ki hamari wajah se Nikhil ji ko aur takleef na ho..Nikhil sachme ek gentleman hai, unhone jo hame support kiya hai, hamri kathin paristhitiyo me jo saath diya hai… shayad koi na de paye..Chahte to woh hume yun hi raste par chodd chale jaa sakte the.. but nahin unhone hume aasra diya hai.. Hum hamesha thankful rahenge!
Bhole baba se bas ek hi prarthana hai..humari wajah se Nikhil ji ko koi aut takleef naa ho!
Waise Bhole Baba ..ek aur baat kehni thi, humne apni zindagi mein aapse excitement, masti aur tadka maanga toh tha..par yeh thoda zyada nahi ho raha hai? Hungama acha hai, bas thoda thoda hi baant te rahiye! Sab aap hi ki kripa hai.. ;)
 
Aapki cofused laajo.

Sunday, 15 September 2013

Sonbarsa chod aaye hum..

Sonbarsa kehne ko hamara hi gaav tha, par yaha lautne ki humein koi khushi
nahi thi. Hoti bhi kaise..Nikhil humein yaha chod kar phir shahar lautne wale
the. Mann toh kar raha tha unhe mana le, unse kahe ki woh hume apne saath
vapas le jaaye, Maayi-Bawji ki daant sunne se toh shahar jana hi behtar tha.
Raat ko jab Nikhil ne humse puncha, “Laajo tum iss faisle se khush ho na?”.
Hum kehte bhi kya, ek shabd humri zehen mein nahi aa raha tha. “Kaka-Kakimaan toh jayenge na?” ..Maa Bawji ke baare mein sochkar toh humra dil ghabra
jaata hai. Nikhil ne shabdo ka humre paas koi jawab na tha, par humne bhi
muskurakar keh diya..”Maanenge kyu nahi, Bholenath ji ne chaha toh zaroor
maan jayenge”.
Humre andar umadta samandar roke na ruke, bistar par let te hi aankhen
chalak uthi.
Waise Sonbarsa mein vapas aakar hum thode khush bhi the. Subah hote hi hum
apni behno ke saath khel kud mein lag gaye. H um toh khelte khelte bahut
durr pahuch gaye the. Bawji ko waha dekh humein laga, arrey Bawji humein
vapas bulane kahe aaye hai? Ab kya ho gaya? Bawji ne humse jaldi ghar jakar
taiyaar hone ko keh diya.
Do kshan ke liye toh kuch samajh nahi aa raha tha. Hum bahut khush the, par
hazaron sawaalon ne hamare dil-o-dimag ko gher rakha tha. Samajh hi nahi aa
raha tha kya kare.
Kheton mein jab hum Nikhil se mile, hum bahut ghabraye hue the. Par humri
saari ghabrahat dur ho gayi jab Nikhil ne humri aankhon mein dekh humein
vapas apne ghar aane ko kaha.  Humein yakeen hi nahi hua.Laajo2
Humre gaav mein humre maa-bawji ko shadi todne ka baat nahi bata sakte, aur
waha shahar mein toh bas shaadi todne ka hi baat hota hai. Nikhil ki
pareshaani hum samajh sakte hai, par iska salushan na humre paas hai naa uu
ke paas. Par ek baat toh humein aaj samajh gayi..Nikhil bahut hi sache
insaan hai. Unhone humri madad aise samay mein ki jab humre saath koi khada
na raha..
Hum shahar vapas aa toh gaye hai par kya Nikhil ke parivaar wale humein
apnayenge? Kya parivaar ka sukh prapt hoga…inn prashno ka uttar abhi humre
paas nahi hai. Aise situation mein sab kuch Bholenath ji par hi chod dena
chahiye, yehi hum maante hai!

Aapki Laajo

Wednesday, 11 September 2013

Ab jo hoga dekha jayga...

Hume kuch na samaj aa raha aaj toh. Nikhil ne hume ghar chod ke Sonbarsa
jane ke liye keh diye.. :( Aur kahein bhi kyu na? Humre wajah se pichle
kuch dino me itni problem hui unko bhi, kya karein... Maafi mangneka yehi
ek raasta hai..
Nikhil ki sister Gunjan badi hi sweet hai.. unse hamari friendship badi
acchi hui thi. Gunjan bol rhi thi ki aise kaise jane denge Nikhil aapko?
Aap unki wife hai! Arey kahe ki wife...aur kahey ka kuch.. Hum to bus
samjhotey me shaadi kiye the.. Ehsaan hai hampar Nikhil ka. Unpar toh hum
koi bhi ilzaam nahi daal sakte. But haa, hum Gunjan ko bahut miss karenge..
badi pyari saheli bani thi wo.
 
GUDI_26_8
Humre gaon me ladki ka sasural se ghar lautna bahut badi baat mani jati
hai! Hamare ghar lautne par na jaaney mai aur baba ka kya reaction hoga??
Woh hume apnayenge ya nahi? Humare halat woh samaj payenge ke nahi? Ye sab
humare sochne ke parey hai.. Ab jo hoga woh dekha jayega.. Humre mai aur
baba hume apni Laajo samaj ke apna le toh bahut acch hoga.. Agar na, toh
hum dekh lenge kya krna hai zindagi ke sath...
Hum toh baith gaye Nikhil ki jeep me.. Bas ye safar ab kaha le jaye hume?
kya pata?
Nikhil ko humre mai bapu ki badi chinta ho rahi thi... wo kaise react
karenge...gaon me kya hoga. Nikhil ne hume apni padhai puri karne kaha,
jisme woh hamra pura support karenge... sunkar accha laga :)
Humne bhi Nikhil ke dil ki baat samjhi... Unke liye hi hum gaon lautne k
liye tayar ho gaye... Khair kya karein ..humare bas me aajkal kuch nahi
hai.. Sab kuch Bholenath ji ke haath me hai. Hum toh bas unki katputli
hai.. Wo jaante hai,  humri life ke saath kya karna hai.
 
 
Chalo bye..
Aapki katputli bani ... Laajo!

Tuesday, 10 September 2013

Kaha hai Laajo?

Ajeeb lag raha hai, mein khud yeh sawaal puch rahi hu! Laajo! hum?... kaha hai? Humme se hum hi kahi kho gaye hai... Iss nayi zindagi mein, iss naye ghar me hume behad ajeeb aur depressing lag raha hai..
 Maano humme hum hi naa rahe... Hasti khilkhilati Sonbarsa ki Laajo.. kahi kho gayi hai iss jhagmagahath me :(
 Meri zindagi ek aise mod par khadi hai jahan main rishton mein ek rishta dhoond rahi hu. Ek rishta jo hai bhi,  aur nahi bhi. Mera aur Nikhil ka rishta. Kehne ko toh main unki patni hu lekin yeh shadi shadi nahi balki kuch aur hi hai. Yeh ek samjhauta hai jo mene apni zindagi ke saath kiya hai.
 
 
GUDI_26_1
Yaha jab hum pehle aaye the, hume bahut acha lag raha tha, hum kitne excited the, naya ghar, naye log, naya parivaar..par mein ek kshan ke liye bhool gayi thi ki hum Laajo hai. Sonbarsa ki laajo. Hum shahar se nahi hai.
 Ek taraf the gaav ke hare bhare khet, jaha hum din bhar putti ke saath ghuma karte the. Waha ek alag si azaadi thi, maana ke hamare pas kuch zyada nahi tha par ek ummeed thi, aur wahi kaafi thi. Aur yaha ek bada sa, jagmagata ghar hai, itne saare log hai..par kahi sukoon nahi. Kahi koi apna kehne ko nahi.
 
 Aaj hum bahut udaas hai. Jab Aisha ke sasuraal walo ke saamne humari upeksha ki gayi hum kachu keh nahi paaye. Mano gale se awaz hi na nikle. Jinhe humne apna maana tha, unhone hi hume paraya kar diya tha. 
 Iss situation me hum kya kare kuch nahi samajh raha...kaha hai who Sonbarsa ki khilkhilati Laajo..shahar mein aa kar kahi kho si gayi hai
 
Inn sab mein main Nikhil ki bahut aabhaari hu, hamari dosti aaj bhi kayam hai..Mushkil ke samay mein Nikhil ne hi Mujhe apnaya. Maine usme ek dost paaya hai.. par yeh bharosa bhi tootta nazar aa rha hai.
Nikhil ne humein apne gaav Sonbarsa vapas le jaa kar..hamari shadi todne ki than li hai!!
Nikhil ka yeh nirnay sun..hum stabdh reh gaye. Hamare dimag mein hazaron sawaal daud rahe the..humein kuch nahi samajh aa raha tha. Nikhil hamare saath aisa kaise kar sakte hai.. L
Ik taraf hum yeh bhi samajhte hai ki Nikhil ko charo aor se khari khoti sunayi jaa rhi thi, who chahe toh bhi kuch nahi kar sakte hai. Hum samajhte hai. Hum unse bahut naraz toh hai par gussa nahi.
 
Iss samay hamare samne ek bada prashn aa khada hua hai..hum apne Maa-Bawji ko kya kahenge..hamari majburi woh kaise samjhenge..
 Bhole baba se bas yehi hai prarthana hai ke aap mujhe jeevan ke iss naye mod par Shakti de..aur sadev humra saath de. 

Wednesday, 4 September 2013

Chai ki pudiya aur Maayi ki yaad..

Aaj subah subah ek badi hi ajeeb ghatna ghati, Woh hum na snaan karne gaye the ghusal khane mein, aur waha na..upar se baarish hone lagi. Ek sec toh hum ghabra hi gaye the..aur phir baarish ruk hi nahi rahi thi. Waise sacchi bataye toh baarish mein nahana hume bahut pasand hai..aur ghusal khane mein baarish mein nahakar na humko bahut majja aaya!!
Nahane ke baad hum chai peene baithe, chai daani mein ubla paani tha aur uske sath thi mithai, jo chakhne par bilkul shakkar si lag rahi thi. Chai patti di toh thi lekin pudiya mein bandhkar, hume toh kachu samajh naa aa raha tha. Humka chai toh peeni hi hai humne thaan li, yo daant se humne pudiya todi aur patti ko dala diya cup mein..ban gayi humari ‘Laajo isspecial’ chai!!
lajjo
Ee sab lag toh acha raha tha, par jab hum chakhe toh chai ekdum hi kadwi thi. Aisi chai log kaise peete hai??  
Phir ek aur baat hui, Isaana naam ki ladki aayi thi ghar, Nikhil ki friend lag rhi thi. Woh hume achanak se dekh puchne lagi, ke hum kaun hai?? Saare ghar mein sannata sa chaa gaya..aur jab use pata laga ki hum Nikhil ki dulhan hai woh bahut hi gusse mein lag rhi thi. Ab bhi hamare samajh mein ek baat nahi aayi, woh ladki itna gussa kyu kar rahi thi..hum samajhte hai woh Nikhil ki mitra hogi, aur usne unhe shaadi ke bare mein na bataya..par itna gussa karna bhi theek nahi tha. Usne toh Nikhil ko apni baat kehne ka mauka tak nahi diya..bechara Nikhil. Humri wajah se use bahut kuch sunna pad raha hai, jhelna pad raha hai, aur yeh baat hume bahut thes bhi pahuchati hai..kaash hum bhi uski madad kar sakte.
Iske baad kyat ha, hume apne kamre mein jaane ko kaha gaya..Jaate jaate humne Gunjan mein ek dost dekha..woh apne bare mein bataye jaa rahi thi, aur jab usne hume apne bare mein pucha. Hum kehna toh bahut kuch chahte the, par keh na sake. Maayi ki bahut yaad aa rhi thi. Yaha sab log kitne alag hai, kitne naye hai..maayi aur sonbarsa ki yaadein chodee na choote. Dil ki gustakhi ne aakhon ko chalka hi diya..
Aapki Bholi si Laajo

Friday, 30 August 2013

Ek nayi shuruwat..

Ye gaav, khet, nadiya, bhed bakriya, hamre dost log, ye khula neela asmaan! Ye sab hamara hai… ya tha? Ye Sonbarsa humme sama gaya tha…aur hum is Sonbarsa me!
Subh uthkar maano mein ab tak ek sapna dekh rahi thi.. Hamra chota parivaar, humri over emotional maiya, humre dost, woh harey khet..woh suhaani hawa… Sab kuch ek sapne ki tarah hamari aankhon se ozhal ho gaya tha, hum Sonbarsa peeche chod aaye the.
Haaaaye! Hum Delhi mein the. Itnaa heavy mann hamra kabhi na hua tha… Maano mein iss sab ke liye abhi taiyaar hi nahi thi.Image
Jab hum Nihkill ke ghar pahuche mann mein ek bechaini si thi…hum bahut hi ghabra gaye the , Pata nahi kya hoga, naye log, naya shahar…hum yaha kya karenge. Life kaise beeteg?! Hazaron prashna hamare dil-o-dimag mein uth khade hue the.
Nikhil ka ghar vakehi kaafi bada tha, maano hum kisi mahal mein aa gaye ho, itta bada hall tha aur sofa hi sofa jaise koi showroom mein aa gaye..itte bada kamra gaon mein hota to usey vivah ghar mein badal dete!!
Hum apna ghar pichey chodd aaye the.. hamra mann ekdum ajeeb behave kar raha tha. Nikhil ki mai ne Nikhil ko bahut bhala bura sunaya, par Nikhil ne sab kuch bina kuch kahe sun liya tha. Humre Sonbarsa mein agar aisa kuch hota toh humri over dramatic maiya ne bhi aisa hi kuch kiya hota. I think..saari mom kahi na kahji..ek jaisi hi hoti hai!
Ab toh hum ummeeed karte hai ki Nikhil ke ghar ki jagmagahat..inn keemti cheezo ke beech hume bhi kahi ek choti si jagah mil jaaye. Hum inn sabse bilkul hi alag hai, bilkul juda hai…hum yaha fit ho bhi payenge ya nahi. Inn sab mein gul milne ki hum koshish toh zaroor karenge ..par hume gul milne ka mauka milega bhi yaa nahi.
Aage kya hoga iska koi andazaa nahi, Nikhil kya kahenge iska bhi koi jawab nahi. Sonbarsa ko hum miss karenge yeh baat toh pakki hai.
Aapki lonely and homesick Laajo.

Tuesday, 27 August 2013

Hamra send-off


Aaj hamari zindagi humein ek naye mod par le aayi hai…Dadaji ke kehne par Nikhil ne humse shaadi karne ke liye haan kardi. Aaj gaav ke mandir mein hamari shaadi Nikhil se Ho gayi..Log khush lag rahe the par humari samajh mein to kuch nahi aa raha tha ..ghar laut ke aaye to log vidaai ki gaatha khol ke baitha gaye ki kya hogi kaise hogi …humne bhi apni purani cheezon ko chhatna shuru kiya aur usmein mili meri ek copy ..diary samjh lijiye jismein maine pichli baar apni shaadi ki kuch baatein likhi thin..phir to itne saari baateyho gai ki waqt hi nahi mila .. .
GUDI_16_7 Usmein ek panna mila jo meri vidaainko le kar tha …jab ghar mein mahol khush tha  ..rok tok ke beech meri shaadi aur vidaai ki baatey bhi thi.. Tab doctor ucle ne bhi diya tha mujhe farewell .. Aap sunege maine kya likha tha ….to aaj apke liye kholti hoon ek purana panna..Kitni bhi aawaz do Maa ke kaano main toh aaj kal sirf ‘shenai’ ki aawaz hi goonjti hai. Bhala kyon koi sunna bhi chahega who “papappeeeeeeey”. Kuch dino se chachiji ne tok tok ke jaahir kar hi diya hai ki humme ab dawakhaane jana bhi band karna padega.
Shaadi se humme aur aajadi milni chaaiye par yahan toh bandishein badh rahein hain. Badi khisiyaati hain chachi humme tokte hue!Kuch dino pehle ki hi baat hai…Humm toh sakuchhhate hue gaye doctor chahcha ke paas , par darwaaze ke bahar marejon ki line dekh bhaage kaam sambhalne.Phir kya tha beet gaya saara din, aur humme hawa hi nahi.Shaam main doctor chacha humme khud bulla kar bole” meri laajo ki shaadi ki khabar, aur mujhe hi pata nahi? Mujhse chupa rahi thi kya pagli”. Hum toh sharma sharma ke laal peele hog aye aur Chaahca bhi hass ne lagge. Phir jor se aawaz laga dawakhaane ke sab logon ko bolle’ Arre hummari bitiyaan ki bidai toh yahan se hi hogi” Saab bade khuush huye  aur Chaha ne kaha ‘Isse send-off dete hain”
Doctor chahcha ne pados ke Rajendar ko bheja kilo bhar jalebi mangwane ke liye aur hum daude Putti ko lane ke liye, aakhir humari pehli party hummari saheli ke binna nahin na honi thi!
Shaadi ho chuki thi…Humme sab ne bahut pyaar se aashirwaad diya, aur hummne sab ko jalebi khilaayi. Hummar Sonbarsa ke nathuji ki jalebi hai hi itni badhiya, bas ser bhar lao aur party shuru. Na jaane seher waale party party ke liye itni tayaari ki jaroorat samajhte hain.Bas sab ne jee bhar jalebi khaayi , (aur jinhe chini mana hai unhone sirf 1 tukda )aur humme yeh mehsoos karvaaya ki shaadi karke hum inko kitna miss karenge.
Na jaane phir kabhi kaam main itni khushi mile na mile. Logon ki vyangya bhari baatein bhi aaj achhi lag rahi thi , badi mushkil se ji ko sambhaala, par aankhen toh mui chalak hi gayi.
Sab se shaadi pe aane ki darkhwast karke aa rahi hu. Ek baar aur dekhne ke mann hai.
Aap bhi aaiyega, apni Laajo ke byah main
Laajo  Uff..
Aaj yeh panna padh ke mann bhar aaya ..ab jo vidaai hai usmein darr  aur anishchitta zyada hai ..dekhte ab samay kaisie karwat lega…

Friday, 23 August 2013

Woh kehte hai nah…A Friend in need is a friend indeed..bas kuch waisa hi.

Charo aor se daant mil rahi thi, log hume bhala bura keh rahe the. Maaiya ne bhi hume khara khota suna diya, hume sabse bura tab laha jab Bawji ne bhi hume daant diya. Bawji hume kabhi kuch bhi nahi kehte the, unhone hume apne haath ki hatheli mein paal poskar bada kiya tha. Hume kachu hi samajh nahi aa raha tha..lag raha tha as if duniya khatm ho rahi ho.
Hum toot chuke the, jo kuch hua tha uske baad iss sabse dur jaana hi theek lag raha tha. Par ek baat mere samajh nahi aa rahi thi, iss sab mein hamari galti hi kya thi?
Humara saath dene ki bajaay sab hume daantne lage the..aur yehi baat humne Nikhil se bhi ki. Usse toh laga hum suicide karne jaa rahe the. Pagla kahika..hum Laajo…aur suicide????...hum toh jaa rahe the shahar padhai karne, naukri karne..taaki hum apne maa-bawji ko bata sake hum bhi kaabil ban sakte hai! Bas woh nadi mein humara pair na fasa hota toh hum kabke shahar pohoch bhi gaye hote!!
Jab hum Nikhil se pehli baar mile hum soch bhi nahi sakte the ke hum kabhi inse baat bhi karenge. Par aaj Nikhil ne hi mujhe nadi se bachaya, meri madad ki..aur toh aur mera paanv bhi maroda. Keh raha tha..”Ho gaya na fit and fine…zor ka jhatka dheere se lage”..jitna dard chot lagne par nahi hua tha..utna uske jhatke se hua par woh madad karna chahta tha..which was sweet.
GUDI_13_8
 
Usne mujhe ghar se bhagne par daanta aur ghar jane ke liye samjhay. Keh raha tha humse kai zyada dukh aur dard hamare maa-bawji ko hota hoga jab unhe pata chalega hum ghar se bhag gaye hai. Usne mujhe aage padhne ke liye protsahan bhi diya.
Inn sab mein ek dost ki tarah woh meri zindagi mein aaya. Humari pehli mulakat ke baad hume toh laga tha Nikhil woh typical shahari ladko ki tarah hoga, jiske liye zindagi ek bada jashn hai..aaj use baat karke maine jaana mein kitni galat thi. Aaj humne ek bahut hi badhiya cheez sikhi hai..zindagi mein kisiko bhi kabhi bhi theek se jaane parkhe bina..unko ache ya bure mein toul ne ki bikul galti nahi karni chahiye!!..humne toh kardi par aap nahi kariyega.
Aaj kal zindagi bahut saari nayi cheezein sikha rahi hai, ab dekhte hai aage aage hota hai kya..
 
Aapki Laajo

Tuesday, 20 August 2013

Shaadi..Sauda..aur Ek Scooter.

Oh yarr..yeh rasme, yeh reeti riwaaz khatm hi nahi hote. Ek rasam puri hui toh dusri uth khadi  hoti hai..I know I know meri shaadi ho rahi hai..par yeh kaha ka insaaf hai? Main nahi kar rahi koi shaadi-vaadi.
Woh shahari babu ki saheliyo ne hume sajaya sawaara tha, iss naye jode..naye kangan zhevar mein hum bahut jach rahe the. Jab kisine kaha “Laajo tum koi ‘princ
ess’ lag rahi ho.”  Yeh sun mere chehre ki muskaan ruke na ruk rahi thi.
Isi kshan dhol nagade ki awaaz hamare ghar ke bahar goonj rahi thi..jab humne khidki ke bahar jhank kar dekha toh yeh bade patakhe fut rahe the, aasmaan mein aatishbaziyo ki raunak thi…log “aaj mere yaar ki shaadi hai” ki dhun par thirak rahe the! Yeh hui na baat…ise kehte hai baaraat! Yeh sab dekh mano meri khushi ki koi seema hi na thi.
Par kuch hi palo mein bahar sab shant ho gaye, baaraat s
uni pad gayi thi. Aur phir zoro shoro se hulla gulla shuru ho gaya. Hum bahut hi ghabra gaye the, humne bahar aakar dekha toh humare honewale sasurji humare Bapu ko kisi karanvash daant rahe the. Yaha tak ki shadi todne ki baat kar rahe the. Humare Bavji ne unhe manane ki bahut koshish ki, unke saamne haath jod kar khade ho gaye.
 
GUDI_11_8
“Arre naye scooter ka baat kiya tha, par hume purana scooter thama diya”
Bavji ne gidgidakar kaha..“Bhole baba ki kasam khakar keh rahe hai..hum ekdum naya isscooter laye hai”
“Hum aapke pair padte hai samdhiji…apni bitiya ki khushi ki hum bheekh maangte hai”
Hamare Bavji ki yeh dasha humse dekhi nahi jaa rahi thi, ek scooter ke liye hamare Bavji ki maan sammaan ka khyaal na rakh Samdhiji taanv se mandap ke bahar chale jaa rahe the. Ek scooter ke liye meri shadi todne ko taiyaar ho gaye. Yeh wahi scooter tha jo humne badmaashi mein gira diya tha. Meri ek choti si badmaashi ki keemat mere Bavji ko apne maan sammaan se chukani pad rhi thi. Yeh sab dekh hum toot hi gaye.
Yeh shadi nahi ek sauda hai, aur hum yeh jaan gaye the. Jis ghar mein ek scooter ki keemat ek bahu se zyada ho..uss ghar mein hum kabhi na khush rahenge yeh bhi hum jaan gaye the.  jin logon ke liye yeh gehne, chand rupiya aur ek scooter ki keemat kisi insaan ke maan samman se  badhkar hai ..humare maa baapu ke izzat se badhkar hai…unke saath hum jee nahi sakte.
Phir jo humne kiya woh bilkul sahi tha.
“Agar aapki nazar mein iss scooter humse zyada ka mol hai na ..toh humari nazar mein bhi aapke bête se zyada iss scooter ka hi mol hai!”
Aur mene uss scooter ko hi var mala pehna di.
Humari nazar mein hum…jo bhi bole woh sola aane sahi bole hai! Sachi bataye toh hum iss dahej ki pratha se ub chuke hai..jo log ek insaan ka mulya scooter ya gehno se badhkar karta hai..uske saath naata hum kabhi na jodenge..chahe humara byaah hi kyu na toot jaye.
Kya aapko lagta hai…humne jo kiya wo sahi kiya? Hum aapse jaanna chahenge..
 
Aapki Laajo

Tuesday, 13 August 2013

Kya Shadi..Ek Sauda hota hai?

Jab hum ghar laute..waha khadi thi ek chamchamati motorcycle, ghar ke andar maa naye gehne dekh rahi thi..meri behne un gehno ko pehen khud ko nihaar rahi thi! Dikhne mein toh sabhi kaafi khush lag rahe the, koi bhi ladki yeh sab dekh bahut khush hoti…par mera mann kahi nahi lag raha tha.
Main hu wahi ‘khushnaseeb ladki’ Laajo, jiski shadi ke liye yeh sab ho raha tha, jiske liye yeh joda, yeh gehne liye jaa rahe the… “MBA  Ladka hai .aisa rishta laakho mein ek milta hai” ..yeh baat aaj bhi mere kaan mein goonjti hai! Sab khush lag rahe the, Maa aur Baavji ne bahut bhag daud ke baad meri shadi ke liye yeh zevar, motorcycle, aur paise…bahut bahut zyada paise ikattha kiye the. Yeh khushi ki betuki chaddar apne andar chupe dard ko dhak rahi thi. Mano khushiya hote hue bhi naa ho, yeh shadi hote hue bhi na ho.
 Image
 Ek baat mujhe kuch tok si rahi thi, Maa aur Baavji ki khushiyo mein kisine na dekha ho par humne bakhubi pehchaan liya tha, yeh Dahej hai bahut hi buri cheez. Ek aur prashn hai, zara controversial hai par main puch hi lungi….yeh dahej hamesha ladki walo ko hi kyu dena padta hai? Ladke wale bhi toh de sakte hai…hai na? Aur dena bhi chahiye…aakhir ek ladki apna ghar parivaar, apne saare rishtey peeche chod ek anjaan aadmi ke naam apna bhavishya likh deti hai. Itna balidaan hum kare aur upar se yeh sehne ke liye aapko tohfa bhi de? Bhai wah, yeh kaha ka insaaf hua?
Humne akhbaar mein padha tha dahej lena aur dena, dono hi..kanoon ki nazar mein apraadh hai. Phir bhi kyu yeh pratha aaj bhi chal rahi hai yeh meri samajh ke bahar hai. Dahej ka yeh pakhand sirf gaav khede tak hi seemit nahi hai, shehro mein bhi padhe likhe log yah pratha bade shaan se chalate hai. I think dahej hi saari samasyao ka jad hai, dahej dena padta hai isiliye toh log bête ko beti se badhkar maante hai. Beti ki padhai ke liye paise nahi hote, par bête ko vilayat bheja jata hai.
Aaj meri shadi, dahej mein mere sasuraal walo ne nakad 80 hazar rupey maange hai. Agar aap meri jagah hoti toh aap kya karti? Mujhe likeye aur bataaye.
Aapki Laajo

Friday, 9 August 2013

Hum sab ek hai!!

Aaj toh bahut maza aa gyaa..uss Shehri babu ko hum ek hi din mein do dafa
hara aaye hai..haan! Jaanne ke liye padhiye aage..
Ek baat batao..log bhed bhaav kyu karte hai? Hamare samajh se toh bilkul hi
bahar hai…Humare Sonbarsa mein in dino kuch shehari log aaye hai…pata nahi
apne aap ko kya samajhte hai! Humne toh socha tha Bhole baba ne hum sabhi ko
ek sa hi banaya hai..koi uch neech nahi, nahi koi bhed bhaav.. par kuch log
samjhe kaha! Toh hua yun ke ..hum baithe the apni Jamuniya ko nehlane
..subah se usne kachu khaya bhi nhi tha…upar se Maiya ne kaha tha chawal
bind do, bhaiya sachi batau toh hum bahut hi busy the…tabhi hamari saheli
daudti hui hamare paas aayi aur boli..
“Woh shahar ka ladka log hai na..woh ek ke baad ek hamari patang kaant te
jaa rahe hai…..chalo jaldi..!!”
Fir kya tha..humne choda apna saara kaam aur daud pade..jab Sonbarsa ki
izzat ki baat aati hai na hum kisi ki nahi sunte ha!!
 
Image
Jab hum waha pahuche toh dekha wahi shehri log..wahi gaadi wala ladka yun
taav mein chauda hoke khade the mano koi mahayodha ho!! Humne bhi mann hi
mann mein keh diya… “Bacho ko harakar khush toh bahut honge tum..ab paala
pada hai Laajo se, ji haan!”
Fir kya tha ho gayi patangbaazi ki competition..hum bhi piche hat ne walo
mein se thodi hai, ho jaye do do haath maidaan – e –jung mein.
Kabhi uski patang upar..kabhi hamari..daanv pech ka khel chal raha
tha..main bas jeetne hi wali thi aakhi Sonbarsa ki izzat daav par thi,
haarti kaise? Par lo kar lo baat..pata nahi kaise par Maiya usi kshan waha
aa pahunchi..fir kya tha mere laakh kehne par bhi maiya nahi maani aur
mujhe waha se le chali!
Jeet ke itne kareeb the hum! ..khair koi ni Bhole baba dusra mauka jaroor
denge hume pata tha..aur woh mauka aa bhi gaya usi dopahar..babaji ki
haveli mein wahi gaadi wale ladke se fir mulakat ho gyi.. aur iss baar
chess ke khel mein humne use pachaad hi diya!...bechara yun apna sir pakde
soch rha tha main haara toh bhi kaise..haha!!
Iss sab ke baat ek cheez toh pakki samajh aayi.. aap chahe gaav se ho, ya
phir shahar se..hum sab ek hi mitti se bane hai. Koi uch neech nahi!
Toh fir milte hai aaj shaam theek 7.30 baje..bhuliyega nahi! Samjhe ya
samjhau?
Aapki gustaakh laajo!

Sunday, 4 August 2013

English babu ..desi chhori. aur ..thodi dil ki gustakhi !

Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhh.........hahahhahaahha......
Arey ghabraiye mat ..aapki laajo ko koi daura nahi pada na hi kisi bhoot pret ka saya huwa hai.
Hum to aaj bahut khush hai isliye samjh nahi aa raha hai ki khushi ke maare cheekhe aur hase ya pehle hasey phir cheekhey.
Huwa yun ki aaj humne kisi ko april fool banaya woh bhi august ke mahine mein!
Sonbarsa ki routine wali life mein  aur khaas kar huamri life mein ek halchal hui..ek bahut hi badhiya mulaqaat  hui!
Hum to haste khelte putti se mil ke ghar ko lut rahe the ki kya dekhte hai sadk ke beech humai gai parbati aur  ussey almost takrati hui ek jeep .. Humari to maano jaan hi nikal gayi ..pair maano barf ban ke zameen mein jam hi gaya ho ..lekin bhole baba ki kripa hi samajhiye ki aakhir samay mein gadi  ganndhe mein jaa phasi aur bhayankar hadsa hone se bach gaya ..humari parbati baal baal bachi.
ljjo
Pehle to humne daud ke apne gai ko gale lagaya aur dekha ki woh theek hai ki nahi aur phir issey pehle ki hum ee dekhte ki woh gaadi wale theek hai ki nahi humne uski awaaz suni ..uski kiski ..arey uski ..woh ladka jo gaadi chala raha tha ...shehar ka ladka apne kuch doson ke saath tha woh ..aur dost bhi kaise ..ek se badh kar ek  namoone... . Do tho ladkiya thi usmein jinhone bitta bhar ka kapda pehna tha ..jee haan ..humare sonbarsa mein ..chhoti si frok pehan ke khadi thi ek ladki  jo shuru hone se pehle hi khatam ho rahi thi.....arey humri chhoti bhi ussi lambi fock pehanti hogi .. Aur ladki hi kya ladka log bhi aise hi ghutne tak ki lambi kacchi pehan ke khada the...aur sabse mazedaar tha woh ladka jiske sur pe chidiya ke ghosle jaise baal the ..arey aapko lag raha hoga ki hum baatey bana rahe hai .par maa kasam .. Woh sab aise hi namoone the jaise hum bata rahe hai .ek se badh kar ek cut piece!,
Lekin humara dhyaan unpe kam tha aur us ladke pe zyada jo is waqt humse behas karne laga ...dekhe mein theek tha ..gora chitta ..poore shehri kapdo mein ..agar humara mood theek hota to shayad hum usko smart soch bhi lete par humara to matah ghooma huwa tha kyunki ek to usne humri parbaati ko daraya upar se boota to dekho ..ulta humpe hi chadha jaa rah tha ..ulta chor kotwaal ko daatey ...bola hume gai charane ki tameez nahi ..hume ..laajo ko ...!,
Phir kya tha..humne un sab ki band baja di ..kaise? Arey humne unse bola harjana nikalo...humari parbati ko darane ke liye...koi aur hota to hum ee na kehte par shehar walon ka ghamand todna bhi zaroori tha khas kar tab jab u ke haav bhaav aisa ho jaise ki gaonwalon ko kuch aata jata nahi aur oo ehsaan kar rahe ho humare sonbarsa pe ..poore 6oo rupaiye nikalwaye humne ...bahut mazaa aaya ...par kuch to baat thi us shehri mein bhi ..usoolon ki baat kar raha tha ..khair jaate jaatey look de kar gaya ..aur kuch to hai jo hume bata raha hai ki yeh hum dono ki aakhiri mulaqaat nahi balki shuruwaat hai...hume aisa lagta hai ki hum phir takrayenge....dekhte hain..agli baar is tashan mein jeetta kaun hai ...hum tayyar hain.
Aur sabse maze ki baat yeh ki ab tak aap apni laajo ko sunte aaye hai ..par aaj se aap humari zindagi ko dekh bhi sakenge aur uska hissa bhi banege .... Kyunki hum milenge aapse ...aaj shaam 7.30 baje..to dekhiye aaj lajo ki yeh interesting mulaqaat !!
Aapki gustaakh laajo!

Ramesh ..suresh aur kumbh ka mela!

Sonbarsa ki zindagi mein July aur august ka mahina sabse eventful hota hai ..kyunki baadh ya sookhe ke ilawa yeh apne saath ek aur cheez lata hai .... shraavan ka mela!!
Gaon bhar se kaanwadiye nikalte hai ganga maiyya ka pavitra paani laane ke liye lekin issey hume matlab nahi ...hume to intezaar rehta hai sonbarsa kenmele ka. Jo kisi kumb ke mele se kam nahi ! Haan yeh alag baat hai ki koi yahan bicchda nahi..kisi ko jaanboojh ke bhi chhod ke aao bheed mein to woh waapis laut aata hai.
Mela ..yeh   Shabd to aap logon ki zindagi se shayad gayab hi ho gaya hoga aur agar yaad bhi hoga to sirf yeh ki yeh to aamir khan ki ek picture thi par humare liye ek melaa aaj bhi utna hi exciting hai jitna ki saalon pehle humari amma ke liye hota tha jab entertianment ka koi aur zariya nahi tha jaise tv, cinema wagairah wagairah.
Image
Jab raat ko aasman mein  roshni yani light har thodi der pe chamkte huwe ek taraf se dooji taraf  jaye to samjh lo  mela shuru ho gaya hai aur circus wale aa gaye hai !! Kam se kam.hazaar waat ki unki focus light  raat ko pure aasman mein har thodi der pe jab pachhas kos  door tak gaon mein har baccha bolta hai bKi .."utha jaa bapu ..mela lag gaya hai !!  ...auratein  naye  kapde silwne ki tayyari shuru karti hai aur aadmi log apni apni jebeon mein hone wale chhed se kaapna shuru kar dete hain....
Hume pata hai mela sun ke aap soch rahe honge ...how outdated !! Par hum sach bata rahe hai ..kabhie gaon aa kar dekhiye ..issey zyada mazedaar cheez aur koi nahi...circus ki rang birange kapde mein ladkiyan..joker ki harkatein..hawai kartab yani flying trapeeze jinke aasman mein ucchal kood  dekh ke humara dil itna zoro ka dhadhakta hai ki maano kahi steam engine ne seeti di ho... hawa mein kya kalabaazi khate hain..baap re baap......aur ek humare mayee hai jo hume khatiya se bhi koodne se daanti hai ..par waha khoob taali bajati hai .
Par Hume to sabse zyada maza aata hai .."maut ka kuwa "dekhne mein....dekhe hai aap kabhie?..jab ek kuwe jaise bade se katore mein motorcycle wAle khatarnaak stunt karte hain...us waqt waha khade sabhi darshako ki saasey mano tham se jaati hai aur goonjti hai sirf ek awaaz...motorcycle ki  broom broom....roye khade ho jaatey hai humare to !  Dhoom picture ke john abraham bhi sonbarsa ke motorcycle walon ke aagey fail hai !
Mela ghoomne ke liye aaj shaam se tayyari ho rahi hai..putti ki amma ne to maano apne shaadi ka lehenga hi nikal liya ho ...saj to aise rahi hai jaise ki mela nahi balki apni shaadi mein jaa rahi hai ..humne aur putti ne to apna gullak tod liya hai...putti ko choodiyan khareedni hai aur hume to banddok se nishana laga ke gubbare phodne hai ....aur uske baad giant wheel pe baithna hai ..pichli baar maayee ko bhi jabran baitha diya tha..pure time muh mein anchal aise daba ke baithi thi mano ki  agar darr se chhekne ki koshich bhi ki to kahi kaleja muh se baahar na aa jaye! ..bahut hasey they hum sab .....aaj unhone hume kasam diya hai ki koi jholla nahi jhoolana aur humne bhi unko ladies promise kar diya hai .....
To ab hum chale mele ke liye tayyar hone ..aakhir maa ko phir se jhoola jo jhulana hai ..arey bhai ladies promise to hoti hi hai todne ke liye ..hai na  !!
hahaha..aaj mayee ki khair nahi..!
Aapki laajo

Saturday, 3 August 2013

Boodhe Bargad ki chudail !!

Chahe Arab desho mein tel khatam ho jaye ya america ke pass se parmadu hathiyaar aur cheen se aadmi  khatam ho jaye par humare sonbarsa mein do aisie cheez hai jo kabhie khatam nahi hogi ..ek to fursat aur doosri bhoot pret ki kahnaiya !!
Aur yeh kahaniya bhi is beintiha fursat ka hi natija hai shayad ..isliye to is gaon mein. Har tarah ke bhoot milte hai. ..tailor made.. ..chaukiye mat …radio wali chudail..jisko radio sunne ka shauk hai, talaab ka dhobi jo aadhi raat ko kapde dhota hai,  hatkatta kisaan jo raat ko hal chalata hai,  purani haveli ki badi begum jinki hasi goonjti hai aur sabse mashoor boodhe bargad ki chudail jo naraaz ho jaye to aapko hawa mein utha ke patakti hai …. Jee haan …Yakeen nahi aata to aa kar kisi se pooch ke dekhiye …. Kuch log poori history bata denge ..kuch log to unke rishteydaaron se milwa denge aur kai aise bhi hai kahenge ki woh insab se mil chuke hai aur agar aapki himmat ho to woh unse milwa bhi de!!
 
IMG_9946
Garmiyon ki raat mein jab sab bahar charpai daal ke sote hai to aise kissey bahut chalte hain…bijli to rehti hi nahi zyadatar raaton mei to kuch andhera , kuch mahol aur kuch kissey banane ka shauk rakhne wali public  janam deti hai ek aur naya bhootiya kissa…phir woh itna failta hai ki dheere dheere woh gaon ka hissa hi ban jaata hai . Nateeja yeh ki kai log isey sach maan baithte hai aur phir shuru hota hai dos n donts yani ki bach bachaav ke tareeke.
Jaisa ki humare gaon ke sabse purane bargad ke liye hai kuch rules ..kehte hai ispe chudail ka waas hai ..to koi bachha waha akela nahi jaata , akele ped pe chadhne wale ko woh aksar patak deti hai ..bargad ki taraf se guzartewaqt chappal haath mein le lete hain log aur koshish yeh hoti hai ki peeth karke na guzre shaam ke baad. Waise hume lagta hai yeh sab kahaniya failayee gayi hai taki koi bachha akele ped pe na chadhe ya koi khatre wala kaam na kare ..kahi idhar udhar bhatke na…baatey manwane ke liye aksar Darr ek bada hathiyar hota hai.
Waise yeh achha business bhi hai kyunki kuch log to bhoot utaro specialist ban ke ghar kharcha chalate hain….Humne kitni baar samjhaya ki aadmi beemar pade ya daura lagey to doctor kaka ke pass dispensary le chalo par log sunte kaha hai ..darr ko paalne ka shauk hai shayad sab mein kahi.
Isiliye to jitna purana yeh bargad ka ped hota jayega utna hi jawaan us bargad ki chudail ka kissa.
Par hume dara sake abhi sonbarsa mein aisa koi pret aatma paida nahi hui ..hum to sirf aur sirf apni amma se darte hain .hahaha
Aapki ‘antar aatma’ laajo